FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from CENSOR

Read available CENSOR lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Badle Hain Waqt

Singer: KUMAR SANU, UDIT NARAYAN, ALKA YAGNIK, JASPINDAR NARULA

Lyrics of Badle Hain Waqt

ta ra ra yaaron jo kal the ham tum vo kal na ham rahenge badle hai waqt pal pal badle hai rang zamaana yaaron jo kal the ... ye nain bahaaren khile khile kanval pyaas ye jawaan geet ye gazal in pe bandishen na lagaaiye inko chuumiye paas aaiye paas to aaiye inke bina hai suna duniya ka aashiyaana badale hai waqt ... rang rang ke hain phool yahaan ek si mahak chaahen ho jahaan manzil hai ek kaafile hazaar ek hi suruur ek hi khumaar ek hi hai khumaar is pyaar ke mahal mein sabka hai aana jaana badle hai waqt ... are pankh hain lage insaan mein ghumta hai vo aasmaan mein jo gai sadi vo tumhaari hai aa rahi hai jo vo hamaari hai vo hamaari hi hai aati hui subah par na taano aashiyaana badale hai waqt ...

Ham Jo Rang Mein

Singer: KUMAR SANU

Lyrics of Ham Jo Rang Mein

o o ham jo rang mein aa gae aap bhi hamako bha gae kya masti hai aur sasti hai piro lo in manakon mein man ke taar ham jo rang mein ... khari baat boluun na boluun khoti chhoti si ye duniya ab aur bhi chhoti mera jo kahana hai agar tum maano to zara sa samjho to zara sa maano to ek hi ghar hai ye saara sansaar ham jo rang mein ... saat suron ka sangam hi to sargam hai ai baat nahi banti hai gar ek bhi kam hai mila lo dil dil se main kehta mehfil se raah mein saathi ho vaasta kya manzil se pyaar mein bas ho jaao had se paar ham jo rang mein ...

Ho Aaj Mazhab Koi

Singer: VINOD RATHOD, ROOP KUMAR RATHOD, KAVITA SUBRAMANIAM, VIJEYATA PANDIT

Lyrics of Ho Aaj Mazhab Koi

ho aaj mazhab koi ek aisaa nay doston is jahaan mein chalaya jaaye jisamein insaan insaan banke rahe aa aur gulshan ko gulshan banaya jaaye o aaj mazhab koi ... aa jisase badhakar koi kitab nahin are jiska milta koi jawab nahin umr bhar chadh kar jo nahin utare vo nasha hai magar sharab nahin use pyaar zamaanaa kahataa hai uska deewana rehta hai ye aisaa hai rangeen nasha ye jitna chadhe utna hi mazaa hontho pe gulab yahi to hai aankhon mein khwab yahi to hai gaalon pe shabaab yahi to hai ghunghat mein hizaab yahi to hai honthon pe gulaab aankho mein khwaab gaalon pe shabaab ghunghat mein hizaab yahi to hai yahi to hai yahi to hai yahi to hai isako paayaa miiraa ne isako hii gaayaa kabiiraa ne o har ruuh ki aavaaz hai ye sabase sundar saaz hai yeh jis se roshan padosii kaa aangan rahe vo diya har ghar mein jalaya jaaye jisamein insaan... aa ye chaav bhi hai aur dhup bhi hai rup bhi hai aur anup bhi hai ye shabnam bhi angaar bhi hai ye megh bhi hai malhar bhi hai are isamain duniya ki jawani hai ye aag ke bhitar paani hai ye ruh ka ek sarovar hai qatare mein ek samandar hai shaayar ka hasin tasavvur hai sangeet ka ek svayamvar hai ye sabko sab kuchh deta hai aur badale mein badale mein badale mein bas dil leta hai dil leta hai dil dil dil dil dil leta hai iska jo karam aaj ho jaaye to ye mehfil bhi jannat si ho jaaye jisamein insaan...

Is Tarah Dekho Na Humko

Singer: ALKA YAGNIK AND UDIT NARAYAN

Lyrics of Is Tarah Dekho Na Humko

--FEMALE- Laa la la laa, la la la laa la la laa --MALE-- Is tarah dekho na humko, is tarah na muskuraana - 2 Ek nasha chhaaya hai hum par - 2 Hosh mein humko na laana --FEMALE-- Is tarah dekho na humko, is tarah na muskuraana Ek nasha chhaaya hai hum par - 2 Hosh mein humko na laana Is tarah dekho na humko, is tarah na muskuraana --MALE-- Shonkh nazar yeh mast adaayein, inpe aa marjaaye hum Is haseen mahaul se bachkar, bolo kyoon ghar jaaye hum Yun bahek jaane do dil ko, humko na kuch yaad rahe Aaj dil kuch maang raha hai, aaj na humse sharmaana Ek nasha chhaaya hai humpar - 2 Hosh mein humko na laana --FEMALE-- Is tarah dekho na humko, is tarah na muskuraana Tere dil mein kya kya kuch hai, humne sab kuch jaan liya Tu hai ek awaara baadal, humne tujhe pehchaan liya Yun na bahek tu hosh mein aa re, baat na kar aisi vaisi Jhel na paayega o pagle, meri nazron ka nishaana Ek nasha chhaaya hai hum par Hosh mein humko na laana --MALE-- Is tarah dekho na humko, is tarah na muskuraana --FEMALE-- Is tarah dekho na humko, is tarah na muskuraana --MALE-- Oh, ek nasha chhaaya hai hum par --FEMALE-- Ek nasha chhaaya hai hum par --BOTH-- Hosh mein humko na laana Is tarah dekho na humko, is tarah na muskuraana --MALE-- Is tarah na muskuraana --FEMALE-- Is tarah na muskuraana

Sun Meri Gal O Gal

Singer: SONU NIGAM, JASPINDAR NARULA

Lyrics of Sun Meri Gal O Gal

sun meri gal o gal sun meri gal pyaar ke hain pal haan pyaar ke hain pal chham se jawaani chali aayi aao chakhen pyaar ki malaai le le mera dil ye salona hoy hoy pyaar se bhara hai kona kona hoy hoy kisi se bhi mil aaisa milega na dil chal chalen o chalen o chalen o chalen sun meri gal ... ishq nashe ka pyaala hai o jisne piya matwaala hai are raaji yaar to sab raaji o sachche pyaar mein rab raaji koi nahi jitna pyaar uncha itna ambar bhi dikhata hai thalle o thalle sun meri gal ... shor mache to machane de pyaar mein kuch nahi bachane de o ho yaar ke sang sang jhuum ke ji ik duuje ko chuum ke ji sang jiina marana duniya se kya darana hone de jitane bhi halle o halle o halle o halle sun meri gal ...
Back to Film List

About CENSOR Songs and Lyrics

Explore the CENSOR soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for CENSOR.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics