FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from CHEHRAA

Read available CHEHRAA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Chehraa Apna

Singer: ALKA YAGNIK AND KUMAR SANU

Lyrics of Chehraa Apna

--MALE- Chehraa apna dekhte hai aaine mein voh, voh - 2 Aur yeh bhi dekhte hai, koi dekhta na ho - 2 --FEMALE-- Apni duaa mein sirf mujhko maangte hai voh, voh - 2 Aur yeh bhi maangte hai, koi maangta na ho - 2 --MALE-- Gore badan se unka aanchal zara sa dhalka Jaaga mere seene mein koi dard halka halka --FEMALE-- Mujhko pata hai mujhse voh pyaar kar rahe hai Phir bhi na jaane kyoon kehne se darr rahe hai --MALE-- Har lamha mere baare mein sochte hai voh, voh - 2 Aur yeh bhi sochte hai, koi sochta na ho - 2 --FEMALE-- Khamosh hai zubaan lekin aankhein bolti hai Dhadkan mein jo hai chhupa voh raaz kholti hai --MALE-- Unki isi adaa ne deewana mujhe kar diya hai Saare jahaan se begaana dekho kar diya hai --FEMALE-- Bas mujhko dil-o-jaan se ab chaahte hai voh, voh - 2 Aur yeh bhi chaahte hai, koi chaahta na ho - 2 --MALE-- Chehraa apna dekhte hai aaine mein voh, voh - 2 Aur yeh bhi dekhte hai, koi dekhta na ho - 2

Dil Abhi Bhara Nahin

Singer: SHANKAR MAHADEVAN AND JASPINDER NARULA

Lyrics of Dil Abhi Bhara Nahin

--MALE- Usko jaane naa do, jaake usse kaho Jaaye naa roothke, chain yun lootke Roko usko gherke, jaaye naa munh pherke Dil abhi bhara nahin, dil abhi bhara nahin - 2 --FEMALE-- Roko naa tum mujhe, hai kasam yeh tujhe Jaane do tum abhi, aaoongi phir kabhi Samjhoge naa bebasi, bologe tum to yahin Dil abhi bhara nahin, dil abhi bhara nahin - 2 --MALE-- (Baaton se deewana, deewana karti hai Aankhon se mastaana, mastaana karti hai) - 2 Jaagi hai soyi hai, masti mein khoyi hai - 2 Dekho kya lagti hai voh dilrooba dilrooba Usko jaane naa do, jaake usse kaho Jaaye naa roothke, chain yun lootke --FEMALE-- Samjhoge naa bebasi, bologe tum to yahin Dil abhi bhara nahin, dil abhi bhara nahin - 2 (Chaahat mein kyoon aise tum aahein bharte ho Chhodo ji, chhodo ji, paagalpan karte ho) - 2 Tum to deewane ho, bilkul anjaane ho - 2 Chhedo naa aise mujhe meri jaan, roko naa tum Na na na na na na na na, na na na na na na --MALE-- Usko jaane naa do, jaake usse kaho Jaaye naa roothke, chain yun lootke --FEMALE-- Samjhoge naa bebasi, bologe tum to yahin Dil abhi bhara nahin --MALE-- Dil abhi bhara nahin --FEMALE-- Dil abhi bhara nahin --MALE-- Dil abhi bhara nahin

Ek To Aisi Ladki

Singer: KUMAR SANU, ALKA YAGNIK

Lyrics of Ek To Aisi Ladki

--MALE- Ek to aisi ladki ho, jo mere naam se sajti ho Shyaam savere aankh bichhaaye, mera rasta takti ho O re o, o re o, mm mm mm mm mm, aah aah aah aah --FEMALE-- Ek to aisa ladka ho, jo mere naam se sajta ho Shyaam savere aankh bichhaaye, mera rasta takta ho O re o, o re o, mm mm mm mm mm, aah aah aah aah --MALE-- Dil mein nayi dhadkan liye aaye mere saamne Baheke hue jazbaat ko aagosh mein thaamne --FEMALE-- Sach mera sapna ho, aisa koi apna ho Chaahe mujhe jo raat din, ho --MALE-- Ek to aisi ladki ho, jo mere naam se sajti ho Shyaam savere aankh bichhaaye, mera rasta takti ho O re o, o re o, mm mm mm mm mm, aah aah aah aah --FEMALE-- Bhooloon na main saari umar, itna mujhe pyaar de Ho, tanha mere armaanon ko chaahat ka sansaar de --MALE-- Uspe main marta hoon, ishq ussi se karta hoon Kaise rahoon main uske bin, ho --FEMALE-- Ek to aisa ladki ho, jo mere naam se sajta ho Shyaam savere aankh bichhaaye, mera rasta takta ho O re o, o re o, mm mm mm mm mm, aah aah aah aah --MALE-- Ek to aisi ladki ho, jo mere naam se sajti ho Shyaam savere aankh bichhaaye, mera rasta takti ho O re o, o re o, mm mm mm mm mm, aah aah aah aah

Had Se Zyaada

Singer: ALKA YAGNIK AND KUMAR SANU

Lyrics of Had Se Zyaada

--MALE- Had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad Oh, had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad - 2 --FEMALE-- Had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad Oh, had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad - 2 --MALE-- Jab bhi aaye koi aahat, kyoon lage tum aa gaye Kya bataaoon kaise tum yaadon pe meri chhaa gaye --FEMALE-- Oh, main dilaasa deke apne pyaar ko samjhaati hoon Tum chale jaaoge aisa sochke ghabaraati hoon --MALE-- Had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad --FEMALE-- Ho, had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad --MALE-- Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad --FEMALE-- Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad Jaagti hoon leke karvat ab to saari raat main Sochti hoon har ghadi bas ab to teri baat main --MALE-- Is hawa pe apne dil ka haal likhke bhejta hoon Kis tarah bechain hoke tera rasta dekhta hoon --FEMALE-- Haan, had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad Had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad - 2 --MALE-- Had se zyaada aati hai mujhko meri jaan teri yaad - 2 Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad - 2
Back to Film List

About CHEHRAA Songs and Lyrics

Explore the CHEHRAA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for CHEHRAA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics