FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from COLLEGE KE DIN

Read available COLLEGE KE DIN lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Aai Pariksha

Singer: MANOHAR SHETTY

Lyrics of Aai Pariksha

Aai Pariksha Dil Karta Hai Dhak Dhak Dhak Dhak Hum Sab Milke Roz Padhen, Phir Bhi Agar Na Dheeraj Badhe, Tum Mujhe Dena, Main Tumhe Doonga, Best Of Luck. Aai Pariksha Dil Karta Hai Dhak Dhak Dhak Dhak... Kaise Beete Din Nahin Pataa Chala, Jo Bhi Padhta Hoon Lagta Hai Naya, Uparwale Maangoon Main To Tumse Dua, Neend Nahin Jee Hai Ghabraya Hua, Raaton Ko Khuli Hi Meri Rehti Hai Palak. Aai Pariksha Dil Karta Hai Dhak Dhak Dhak Dhak... Jab Ho Dil Deewana Koi Kaise Padhe, Kitaabon Mein Sajni Ki Soorat Dikhe, Teacher Ki Salah Pe Na Dhyan Diya, Papa Mummy Ka Bhi Kuch Khayal Na Kiya, Na Chhodo Padhayee Seekho Mujhse Yeh Sabak. Aai Pariksha Dil Karta Hai Dhak Dhak Dhak Dhak... Itni Jaldi Haar Main Kabhi Na Maanonga, Maine Tay Kiya Hai Din Raat Padhoonga, Acche Number Se Main Ab Tak Paas Hua Hoon, Awwal Number Se Main Paas Hokar Rahoonga, Tab Dekhoge Yaaron Mere Chehre Pe Chamak. Aai Pariksha Dil Karta Hai Dhak Dhak Dhak Dhak...

O Sir

Singer: MANOHAR SHETTY & JASWANT SINGH

Lyrics of O Sir

O Sir, Aapne Sikhaya Pyar Se Humein Jo Na Kabhi Bhi Woh Bhool Payenge Hum, Aap Jo Mile Humein Bade Hain Khushnaseeb Hum, Ke Baar Baar Aap Yaad Aayenge Humein, Umra Bhar, Dil Se Yeh Kahenge Hum O Sir, Aapke Rahenge Hum O Sir. Aap Gyan Se Bhare Vishal Aasmaan, Raah Jo Dikhaye Aap Hain Woh Rehnumaan, Ab Se Aapke Kadam Do Dekhte Chalenge Hum, Apni Manzil Pe Ek Din Zaroor Honge Hum, Saadgi Hai Aap Mein Wahi Lubha Rahi Humein, Jo Usool Aapke Woh Saath Denge Ab, Umra Bhar. Dil Se Yeh Kahenge Hum O Sir, Aapke Rahenge Hum O Sir. Apne Ghar Se Door Hum Akele Hain Yahaan, Aapne Diya Hai Pyar Se Bhara Jahaan, Humko Apna Maana Aapne Yuh Rishta Hai Juda, Hum Kabhi Na Chahate Ke Aapse Ho Hum Juda, Sar Pe Aapka Ho Haath, Chah Bas Yahi Humein, Chhaon Aapki Mile Isi Tarah Hamein, Umra Bhar. Dil Se Yeh Kahenge Hum O Sir, Aapke Rahenge Hum O Sir. Pyar Se Humein Tumne Jeet Hai Liya, Roshni Jo Sabko De Banoge Tum Diya, Sach Ka Haath Thaam Loge Humko Hai Yakeen, Kamyaab Hoge Tum Milegi Tumko Har Khushi, Zindagi Mile Tumhe Jahaan Aman Ho Chain Ho, Yahi Dua Karenge Hum Tumhare Liye, Umra Bhar.

Pehla Din Hai College Ka

Singer: MANOHAR SHETTY

Lyrics of Pehla Din Hai College Ka

Pehla Din Hai College Ka, Dar Lagta Hai Naya Daur Hai Zindagi Ka, Dar Lagta Hai. Papa Bhi Khush Hoke Ek Tohfa Aaj Laye, Kuch Banoonga Main, Kar Dikhaoon Main, Jispe Unko Naaz Aaye, Unke Khafa Ho Jaane Ka Dar Lagta Hai, Naya Daur Hai Zindagi Ka, Dar Lagta Hai Pehla Din Hai College Ka, Dar Lagta Hai, Kehte Hain Sab Mukhko College Ke Din Hain Suhaane, Aaj Baarish Mein Bheeg Ke Aaya, Saath Leke Laakhon Sapne, Sapnon Ki Oonchi Manzil Ka Dar Lagta Hai, Naya Daur Hai Zindagi Ka, Dar Lagta Hai Pehla Din Hai College Ka, Dar Lagta Hai, Main To Hoon Seedha Sa, Ajnabi Yeh Saari Duniya, Aise Mele Main Kho Na Jaoon Main, Mil Bhi Jaaye Koi Apna, Yuh Hi Dhadakte Is Dil Ka Dar Lagta Hai, Naya Daur Hai Zindagi Ka, Dar Lagta Hai Pehla Din Hai College Ka, Dar Lagta Hai.

Tak-Dhin

Singer: MANOHAR SHETTY

Lyrics of Tak-Dhin

Masti Bhare Hain College Ke Yeh Din Chalo Aao Milke Karen Tak-Dhin. Lecture Badhiya Teacher Hain Pyare Pyare Se, Dost Mile Hain Dilko Jo Lagte Apne Se, Hansi Khushi Ki Baatein Hoti Hain Canteen Mein, Ek Haseen Hai Ladki Jo Bas Gayee Hai Man Mein, Tabhi To Mera Dil Kahe Tak-Dhin. Kaise Kehte Hain Dil Ki Baatein Na Jaanu, Kab Mein Kahoonga Dilbar Usko Yeh Na Jaanu, Uski Adaa Hai Dilkash, Woh Meri Beauty Queen, Woh Karti Hai Baatein Khatti Meethi Namkeen, Woh Haan Jo Kahe To Kahoon Tak-Dhin
Back to Film List

About COLLEGE KE DIN Songs and Lyrics

Explore the COLLEGE KE DIN soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for COLLEGE KE DIN.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics