FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from DEVTAA

Read available DEVTAA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Aye Chand Kal Jo Aana

Singer: LATA MANGESHAKAR

Lyrics of Aye Chand Kal Jo Aana

aye chand kal jo aana, un ko bhi saath laan wo jhin ke baghair aaj pyaar beqaraar hai ye thandi hawa, ye samaan, ye nazaare aise men aaye koi, dil ko pukaare jise meri ankhiyon ne dekha ek baar hai wo jhin ke baghair aaj............... O... chanda bata hai kahaan chaand mera itana bata de to kya bigade ga tera paheli paheli preet meri, pahela pahela pyaar hai wo jhin ke baghair aaj............... Posted by: p u r n i m a

Do Nainon Ka Bana

Singer: LATA MANGESHAKAR

Lyrics of Do Nainon Ka Bana

do nainon ka bana jhoolana, ye palakon ki doliyaa ye palakon ki doliyaan saaz bajjaye chandani aur chand khilaayen lorriyaan lal mera jab musakaaye, mast chandaniyaa bhi sharmaaye dekh dekh ke mere dil men, laher khushi ki doudi jaaye tere mere pyaar ki ye kabhi na tute doriyaan kabhi na tute doriyaan saaz bajjaye chandani aur chand khilaayen lorriyaan mere sang sang dheere dheere chaal chale jab tu matawaali mein jhoomoon, mera manavaa jhume, jhume dali dali phoolon ki hai paalki aur shaakhon ki ye doriyaan saaz bajjaye chandani aur chand khilaayen lorriyaan Posted by: p u r n i m a

Gulmohar Gar Tumhara Naam Hota

Singer: LATA MANGESHKAR, KISHORE KUMAR

Lyrics of Gulmohar Gar Tumhara Naam Hota

Gulmohar Gar Tumhara Naam Hot Mausam-E-Gul Ko Hasaana Bhi Hamara Kaam Hota Aayengi Baharein To Abke Unhe Kehna Zara Itna Sune Mere Gul Bina Kahan Unka Bahaar Naam Hota Gulmohar Gar Tumhara Naam Hota... Shaam Ke Gulabi Se Aanchal Mein Ek Diya Jala Hai Chaand Ka Mere Un Bina Kahan Uska Chaand Naam Hota Gulmohar Gar Tumhara Naam Hota...

Kaise Aaon Jamuna Ke Tir

Singer: LATA MANGESHAKAR

Lyrics of Kaise Aaon Jamuna Ke Tir

Kaise Aaon Jamuna Ke Tir Re- Paaon Padi Zanzeer, Raama Paaon Padi Zanzeer, Ho Kaise Aaon Jamuna Ke Tir Re Aaon Jamuna Ke Tir Re Kaahe Lagaaya Bairi, Akhiyon Men Kajara Akhiyon Men Kajara, Kalaiyaa Men Gajara Kalaiyaa Men Gajara, Ha Kalaiyaa Men Gajara Rahe Gaee Haar Singaar Kiye Mein Koun Bandhaaye Dheer Re Aaoon Jamuna Ke Tir, Jamuna Ke Tir Re Kaise Aaon Jamuna Ke Tir Re Shaam Milan Ko Jiya Mora Tarsen Kaah Karun, Kaise Nikalu Mein Ghar Se Preet Bhare Mann Ki Ye Duniya Haaye Na Jaane Pir Kaise Aaon Jamuna Ke Tir Re Aaon Jamuna Ke Tir Posted By: P U R N I M A

Kisi Se Pyaar Hai

Singer: LATA MANGESHAKAR, TALAT MEHMOOD

Lyrics of Kisi Se Pyaar Hai

lata kisi se pyaar hai hum ko, magar hum na bataayenge talat: tumhaari in jhuki aankhon se hum to jaan jaayenge lata: hum aankhen khol denge to talat: jhukaana hum ko aata hai lata: hato hum rooth jaayenge talat: manaana hum ko aata hai lata: agar hum phir bhi na maanen talat: to palakon par bithaayenge both: kisi se pyaar hai hum ko, magar hum na bataayenge lata: humaare koun ho tum, jee talat: wohi jo dil churaate hai lata: sikhaaee kis ne ye chori talat: ye do naina sikhaate hai lata: jo ye ilzaam ho jhutha talat: to hum sach kar dikhaayenge both: kisi se pyaar hai hum ko, magar hum na bataayenge Posted by: p u r n i m a

Zaalim Teri Aankhon Ne

Singer: LATA MANGESHAKAR

Lyrics of Zaalim Teri Aankhon Ne

zaalim teri aankhon ne, kya cheez pila di hai- ulfat ke siwa saari duniya hi bhula di hai zaalim teri aankhon ne.......... bas ek nazar dekha, aur loot liya dil ko -2 loot kar bhi mere dil ne, khush ho ke du' a di hai zaalim teri aankhon ne.......... jab se tujhe dekha hai, kuchh hosh nahin mujhko-2 har cheez zamaane ki, nazaron se gira di hai zaalim teri aankhon ne.......... Posted by: p u r n i m a
Back to Film List

About DEVTAA Songs and Lyrics

Explore the DEVTAA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for DEVTAA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics