FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from DIL HI TO HAI

Read available DIL HI TO HAI lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Laaga, chunari mein daag

Singer: MANNA DEY

Lyrics of Laaga, chunari mein daag

Laaga, chunari mein daag, chhupaau kaise, laaga, chunari mein daa Chunari mein daag, chhupaau kaise, Ghar jaau kaise Laaga, chunari mein daag... Ho gayi maili mori chunariya, Kore badan si kori chunariya - 2 Aa ... jaake baabul se, Nazarein milaau kaise, ghar jaau kaise Laaga, chunari mein daag... Bhool gayi sab vachan bida ke kho gayi main sasuraal mein aake Aa ... jaake baabul se, Nazre milaau kaise, ghar jaau kaise Laaga, chunari mein daag... Kori chunariya aatma mori mail hai maaya jaal -2 Woh duniya more baabul ka ghar, Ye duniya sasuraal Haan jaake, baabul se, Nazre milaau kaise, ghar jaau kaise Laaga, chunari mein daag...

nigaahe milaane ko

Singer: ASHA BHOSLE

Lyrics of nigaahe milaane ko

raaj kee baat hain mahafeel mein kahe, yaa naa kah bas gayaa hain koee, is dil mein kahe, yaa naa kahe nigaahe milaane ko, jee chaahataa hain dila-o-jaan lootaane ko, jee chaahataa hain wo tohumat jise ishk kahatee hain duniyaa wo tohumat uthhaane ko, jee chaahataa hain kisee ke manaane me, lajjat wo paayee ke fir ruthh jaane ko, jee chaahataa hain wo jalawaa jo ozal bhee, hain saamane bhee wo jalawaa churaane ko, jee chaahataa hain jis ghadee meree nigaahon ko teree did huyee wo ghadee mere liye ayesh kee tamaheed huyee jab kabhee maine teraa chaand saa cheharaa dekhaa eed ho yaa ke naa ho, mere liye eed huyee wo jalawaa jo ozal bhee, hain saamane bhee wo jalawaa churaane ko, jee chaahataa hain mulaakaat kaa koee paigaam dije ke chhoop chhoop ke aane ko jee chaahataa hain aaur aa ke naa jaane ko jee chaahataa hain

Tum Agar Mujhko Na Chaaho

Singer: MUKESH

Lyrics of Tum Agar Mujhko Na Chaaho

Tum Agar Mujhko Na Chaaho To Koi Baat Nahi Tum Kisi Aur Ko Chaahogi To Mushkil Hogi Ab Agar Mael Nahin Hai To Judaai Bhi Nahin Baat Todi Bhi Nahin Tumne Banai Bhi Nahin Yeh Sahara Hi Bahut Hai Mere Jeene Ke Liye Tum Agar Meri Nahin Ho To Parayi Bhi Nahin Mere Dil Ko Na Saraaho To Koi Baat Nahin Gair Ke Dil Ko Saraahogi To Mushkil Hogi Tum Kisi Aur Ko Chaahogi To Mushkil Hogi Tum Haseen Ho Tumhe Sab Pyar Bhi Karte Honge Maein Jo Marta Hoon To Kya Aur Bhi Marte Honge Sabki Aankhon Mein Issi Shaukh Ka Toofan Hoga Sabke Seene Mein Yahi Dard Ubharte Honge Mere Gham Mein Na Karaaho To Koi Baat Nahin Aur Ke Gham Mein Karaahogi To Mushkil Hogi Tum Kisi Aur Ko Chaahogi To Mushkil Hogi
Back to Film List

About DIL HI TO HAI Songs and Lyrics

Explore the DIL HI TO HAI soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for DIL HI TO HAI.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics