FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from DULHAN EK RAAT KI

Read available DULHAN EK RAAT KI lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Kabhi Aye Haqeeqat

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Kabhi Aye Haqeeqat

kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libaas-e-majaaz mein ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein na bacha-bacha ke tu rakh ise, tera aaeena hai vo aaeena ke shikasta ho to azeeztar hai nigaah-e-aaiinaasaaz mein na vo ishq mein raheen garmiyaan, na vo husn mein raheen shokiyaan na vo gazanavi mein tadap rahi na vo kham hai zulf-e-aayaaz mein main jo sar-ba-sajada kabhi huaa, to zameen se aane lagi sada tera dil to hai sanam aashanaa, tujhe kya milega namaaz mein kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar a libaas-e-majaaz mein ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein

Kayi Din Se Ji Hain Bekal

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Kayi Din Se Ji Hain Bekal

kai din se ji hai bekal ai dil ki lagan ab le chal mujhe bhi vahaan mere piya hai jahaan bichhadi nazar nazar se to bechain ho gayi aaise laga ke jaise koi cheez kho gayi ab unke bina hu aaise jaise naina bin kaajal kayi din se ... aati hain unke pyaar ki maujen machal-machal kab tak kahungi dil se main apne sambhal-sambhal ja des piya ke udd ja tu man ke panchhi ghaayal kayi din se ... aayi jo unki yaad to saansen mehak gayi aankhon mein bijaliyaan si hazaaron chamak gayi jis or uthi ye nazaren laharaayi pyaar ke baadal kayi din se ...

Maine Rang Li Aaj Chunariya

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Maine Rang Li Aaj Chunariya

maine rang li aaj chunariya sajana tore rang mein - 2 maine rang li ... jiya mora chaahe main bhi khelu o sajanava holi aaise radha ne kanhaiya se prem ki holi kheli jaise prem ke main rang phenku bin tumhaare kuch na dekhu maine rang li ... kitne jatan se ye roop sajaaya maine sajana soye hue sapane ko phir jagaaya maine sajana main to doobi prem ras mein ab nahi main apne bas mein maine rang li ... jaldi se aa meri baavri ankhiyaan teri pyaasi charnon mein tere piya swarg basa le teri daasi tum bata do mere kya ho main to jaanu devata ho maine rang li ...

sapanon mein agar mere

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of sapanon mein agar mere

sapanon mein agar mere, tum aao to so jaao baahon kee muze maalaa pahanaao, to so jaaoo sapanon mein abhee saajan baithho mere paas aa ke jab seene pe sar rakh doo main pyaar mein sharamaa ke yek geet mohabbat kaa tum gaao to so jaaoo beetee huyee wo yaade, hasatee huyee aatee hai laharon kee tarah dil mein aatee, kabhee jaatee hai yaadon kee tarah tum bhee aa jaao to so jaaoo
Back to Film List

About DULHAN EK RAAT KI Songs and Lyrics

Explore the DULHAN EK RAAT KI soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for DULHAN EK RAAT KI.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics