FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from FILHAAL

Read available FILHAAL lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Dil Ke Sannate

Singer: PALASH SEN

Lyrics of Dil Ke Sannate

Yeah hey, yeah yea Dil ke sannate khol kabhi - 2 Tanhaai tu bhi bol kabhi - 2 (Parchhaaiyaan chunta rehta hai Kyoon rishte bunta rehta hai) - 2 Oh, in vaadon ke peeche koi nahin Kyoon vaade sunta rehta hai Dil ke sannate khol kabhi - 2 Tanhaai tu bhi bol kabhi - 2 (Bujh jaayegi saari aawaazein Yaadein yaadein reh jaayegi) - 2 Oh, tasveerein bachegi aankhon mein Aur baatein sab keh jaayegi Dil ke sannate khol kabhi - 2 Tanhaai tu bhi bol kabhi - 2

Filhaal

Singer: ASHA BHOSLE

Lyrics of Filhaal

Ae zindagi yeh lamha jee lene d Oh, pehle se likha kuch bhi nahin Roz naya kuch likhti hai tu Jo bhi likha hai, dil se jiya hai Yeh lamha filhaal jee lene de - 2 Maasoom si hasi, bevaja hi kabhi Honton pe khil jaati hai Anjaan si khushi baheti hui kabhi Saahil pe mil jaati hai Yeh anjaana sa darr ajnabi hai magar Khoobsurat hai jee lene de Yeh lamha filhaal jee lene de - 2 Dil hi mein rehta hai, aankhon mein baheta hai Kaccha sa ek khwaab hai Lagta sawaal hai, shaayad jawaab hai Dil phir bhi betaab hai Yeh sukun hai to hai, yeh junoon hai to hai Khoobsurat hai jee lene de Yeh lamha filhaal jee lene de ... Oh, pehle se likha kuch bhi nahin Roz naya kuch, oh likhti hai tu Jo bhi likha hai, dil se jiya hai Yeh lamha filhaal jee lene de ...

Kyun Baar Baar

Singer: CHITRA

Lyrics of Kyun Baar Baar

Kyun Baar Baar Aankhon Mein Tum Karwat Lete H Na Sote Ho Na Mujhko Tum Sone Dete Ho Kyun Baar Baar Aankhon Mein Tum Karwat Lete Ho Kahan Chhupe Ho Seene Mein Tum Saasein Bhaari Rehti Hain Neend Mein Ho Ya Sapno Mein Kyun Palke Bhaari Rehti Hain Kyun Baar Baar Aankhon Mein Tum Karwat Lete Ho Na Sote Ho Na Mujhko Tum Sone Dete Ho Sare Ang Tum Apne Rakna Aankhen Ka Rang To Mera Ho Thodi Thodi Shyaam Ki Rangat Halka Halka Sawera Ho Kyun Baar Baar Aankhon Mein Tum Karwat Lete Ho Na Sote Ho Na Mujhko Tum Sone Dete Ho

Le Chalen Doliyon Mein

Singer: ROOP KUMAR RATHOOD AND CHITRA

Lyrics of Le Chalen Doliyon Mein

Le chalen doliyon mein tumh Gar iraada karo Ungliyon mein pehen lo yeh rishta Aur vaada karo --FEMALE-- Hua hua hua, hua hua hua - 2 --MALE-- Le chalen doliyon mein tumhe Gar iraada karo Ungliyon mein pehen lo yeh rishta Aur vaada karo --FEMALE-- Haan, hua hua hua, hua hua hua Hua hua hua, hua hua hua --MALE-- Teri aankhon se chhanti hui Is chamak ki kasam Yeh samandar jo namkeen hai Is namak ki kasam Chauk se chaand pe likh diya hai Naam humne tera Oh reva reva reva, reva reva reva Le chalen doliyon mein tumhe Gar iraada karo Ungliyon mein pehen lo yeh rishta Aur vaada karo --FEMALE-- Haan, hua hua hua, hua hua hua Hua hua hua, hua hua hua --MALE-- Dil kisi pe to aana hi tha Dil ka kya kijiye Is padosi ko jaana hi tha Ab vida kijiye Tum kaho to tumhe saunp de Ab to vaada karo --FEMALE-- Hua hua hua, hua hua hua --MALE-- Le chalen doliyon mein tumhe Gar iraada karo Ungliyon mein pehen lo yeh rishta Aur vaada karo --FEMALE-- Aah, hua hua hua, hua hua hua Hua hua hua, hua hua hua

Naya naya, dhula dhula

Singer: CHITRA AND K.K.

Lyrics of Naya naya, dhula dhula

--FEMALE- Naya naya, dhula dhula - 2 Haan, aasmaan khula --MALE-- Naya naya, dhula dhula Aasmaan khula --FEMALE-- Tumne aankh kholi to Aah, yeh jahaan khula --MALE-- Tumne aankh kholi to Yeh jahaan khula Naya naya, yea hey --FEMALE-- Mm mm mm mm, mm mm mm mm --MALE-- Aap ke chehre pe kyoon Shahed jaisi dhoop chadne lag gayi hai --FEMALE-- Aap ki aankhon mein kyoon Neend apne sapne rakhne lag gayi hai Muskuraake zindagi ne hairaan kar diya --MALE-- Hairaan kar diya Naya naya, dhula dhula Aasmaan khula --FEMALE-- Tumne aankh kholi to Aah, yeh jahaan khula --MALE-- Naya naya, yea --FEMALE-- Oh, oh, oh aah aah aah aah aah --MALE-- Muskuraahat aap ki Lab pe rakhke humne aadhi kaant li --FEMALE-- Aap ne to saans bhi Mere lab se aati aati baant li Gale lagaake zindagi ne hairaan kar diya --MALE-- Hairaan kar diya Naya naya, dhula dhula Aasmaan khula --FEMALE-- Tumne aankh kholi to Aah, yeh jahaan khula --MALE-- Tumne aankh kholi to Haan, yeh jahaan khula --FEMALE-- Naya naya, dhula dhula --MALE-- Naya naya, dhula dhula

Sola Singaar Karke

Singer: JASPINDER NARULA AND PALASH SEN

Lyrics of Sola Singaar Karke

(Waari jaawa waari jaawa waari jaaw Sau sau baari sau sau baari waari jaawa) - 3 Sola singaar karke godi bharaayi le - 2 Saiyyaan, saiyyaan, saiyyaan saiyyaan Saiyyaan se kheli bahut ab Chhotu ko khilaayi le Sola singaar karke godi bharaayi le Sola singaar kare (Waari jaawa waari jaawa waari jaawa Sau sau baari sau sau baari waari jaawa) - 2 Chhotu jo aave ghar mein Chhotu jo aave ghar mein Oye hoye hoye hoye, oye hoye hoye hoye (Chhotu jo aave ghar mein, naani behlaave Paayal pehenke naani naach dikhaave) - 2 (Waari jaawa waari jaawa waari jaawa Sau sau baari sau sau baari waari jaawa) - 2 Haan, chhotu jo aave ghar mein Chhotu jo aave ghar mein Hoye hoye, oye oye oye oye Chhotu jo aave ghar mein, maasi ko bulaave Naadi badalke unki lori sunaave Naadi? Maasi ki? Chhotu jo aave ghar mein, aave unke mama Mama? Ya chacha, mm chacha Chhotu jo aave ghar mein, aave unke mama Daaton se naala pakde, haath se pajaama Oh, teri hasi bhar bharke Ghar mein chhidkaave Oh, sola singaar karke godi bharaayi le Sola singaar karke godi bharaayi le Saiyyaan, saiyyaan, saiyyaan saiyyaan Saiyyaan se kheli bahut ab Chhotu ko khilaayi le Sola singaar karke godi bharaayi le Sola singaar karke (Waari jaawa waari jaawa waari jaawa Sau sau baari sau sau baari waari jaawa) ...
Back to Film List

About FILHAAL Songs and Lyrics

Explore the FILHAAL soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for FILHAAL.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics