FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from JAANWAR

Read available JAANWAR lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Angoori Angoori

Singer: SAPNA AWASTHI

Lyrics of Angoori Angoori

Chhamak chham chhamke angoori badan Damak dam damke angoori badan Pyaasi hai meri baahein, jiya hai beqaraar Tadpaa naa mujhe aise, aaja naa mere yaar Chhamak chham chhamke angoori badan Damak dam damke angoori badan (Koi padaa hai mere jhumke ke peeche Koi padaa hai mere dhumke ke peeche) - 2 Kaise chhupaaoon, kaise dabaaoon Sholaa jawaani ka Sahi naa jaaye mujhse birahaa ki jalan Chhamak chham chhamke angoori badan (Shyaam savere tera rastaa nihaaroon Tanhaa akeli saari rehna guzaaroon) - 2 Kisko sunaaoon, kisko bataaoon Haal burraa hai dil ka Dard nahin jaane bedardi sajan Chhamak chham chhamke angoori badan Pyaasi hai meri baahein, jiya hai beqaraar Tadpaa naa mujhe aise, aaja naa mere yaar Chhamak chham chhamke angoori badan Damak dam damke angoori badan

Mausam Ki Tarah

Singer: ALKA YAGNIK AND MANHAR UDHAS

Lyrics of Mausam Ki Tarah

--FEMALE- Duniya ki tarah, rasmon ki tarah Vaadon ki tarah, kasmon ki tarah Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2 ---MALE-- Duniya badalti hai, mausam badalte hai Lekin mere dil ko badal nahin paaoge --FEMALE-- Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2 Aasmaanon ke aage tumne vaada kiya hai Dil ke badle mein maine pyaar tumko diya hai ---MALE-- Dharti ki, ambar ki kasam Mujhko hai tere sar ki kasam Nazrein badalti hain, sapne badalte hain Lekin meri dhadkan ko tum dhadkaaoge --FEMALE-- Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2 Meri pehli tamanna, aakhri pyaar ho tum Rooh mein bas gaye ho, mere dildaar ho tum ---MALE-- Aise hi tumhe chaahoonga main Tumhe dulhan bhi banaaoonga main Sehre badalte hain, khushboo badalti hai Pal pal meri saanson ko tum mahekaaoge --FEMALE-- Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2 Tumne dhoka diya to kuch bhi kar jaaoongi main Tum judaa jo hue to dekho mar jaaoongi main ---MALE-- Meri manzil teri raahon mein hai Meri jannat teri baahon mein hai Raahi badalte hain, raste badalte hain Main daudke aaoonga jo mujhko bhoolaaoge --FEMALE-- Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge - 2 Badal to na jaaoge - 3
Back to Film List

About JAANWAR Songs and Lyrics

Explore the JAANWAR soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for JAANWAR.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics