FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from LAAWARIS(1999)

Read available LAAWARIS(1999) lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Aa Kahi Dur Chale Haye Hum

Singer: UDIT NARAYAN, ALKA YAGNIK

Lyrics of Aa Kahi Dur Chale Haye Hum

aa kahi duur chale jaaye ha duur itnaa ki hamein chhuu na sake koi Gam aa kahi duur ... phuulon aur kaliyon se mehake hue ik jungal mein ik hasin jheel ke saahil pe hamara ghar ho os mein bheegi hui ghaas pe ham chalte ho rang aur nuur mein duubaa hua har manzar ho main tujhe pyaar karu mere sanam tu mujhe pyar kare mere sanam aa kahi duur ... aa aa shaam kaa rang ho gaharaa to sitaare jaage raat jo aaye to resham se andhere laaye chaand jab jheel ke paani mein nahaane utare meri baahon mein tujhe dekh ke sharamaa jaaye main tujhe pyaar karu mere sanam tu mujhe pyaar kare mere sanam aa kahi duur...

Kuch Tumahre Haath Hain

Singer: SHANKAR MAHADEVAN, SUNITA RAO, JOLLY MUKHERJI

Lyrics of Kuch Tumahre Haath Hain

attention attention attentio tum jo phirte ho lambi kaaron mein rehte ho mehalon se makaano mein tum bura kehte ho humko yaaron jhaank lo apne girebaanon mein attention phir savaal aur javaab kar lo tum aaj humse hisaab kar lo tum kuchh tumhaare haath hai aur kuchh humaare haath hai saath hai duniyaa tumhaare dil humhare saath hai kuchh tumhaare haath hai ... tumne khushiyaan kharidi hain baazaar mein humne rangeeniya paayi hain pyar mein tumko vo sukh jo bikte hain saare mile humko yaari mili dost pyaare mile tumko paisa mila to ye andaaz hai humko apne hi upar magar naaz hai hun tum chale to saath ye dar hai ki tum lut jaaoge hum chalen to saath ummiido ki ik baaraat hai huun kuch tumhare haath hai ... kaun ho tum kahaa se aaye ho baat karane ki bhi tamiz nahi hai zamana humari thokar mein tum ho kya tum to koi cheez nahi huzur itna na kariye guruur daulat par ye sheesha chhan se kisi roz tuut jaayega zamaane bhar ko hai luuta huzur ne lekin ye banda aapko ik roz luut jaayega khud ko jyada na bekaraar kare aap us din kaa intezaar kare he kuch tumhaare haath hai ... tumne maana ki tum lutere ho par bura humko kehte rehte ho hum bure kyun hain tum bhale kyun ho tum jo kehte ho kyun vo kehte ho kuch tumhaare haath hai ... tum sharafat ke parde ke peechhe chhupe sau gunaahon ki mehfil sajaate rahe sajaate rahe sajaate rahe humne jo bhi kiya saaf khul ke kiya hum hain kya hum ye sabko bataate rahe bataate rahe tumne jo bhi kiya zurm hai vo bada humne to vo kiya hai jo karana pada he humne jo bhi hai kiya vo din dahaade hai kiya tumne sab kuch hai kiya jab chaai kaali raat he kuchh tumhaare haath hai...

Tumne Jo Kahaa Maine

Singer: ABHIJIT, KAVITA SUBRAMANIAM

Lyrics of Tumne Jo Kahaa Maine

tumne jo kaha maine vo suna sun ke maine jo sapana bun dekho usko tod na dena tanha mujhko chhod na dena har gam se bacha lunga main rakhana yaad apna vaada baahon mein chhupa luunga main kar lo pakkaa iraada tumne jo kahaa maine ... tumko har pal chaahungi main rakhna yaad apnaa vaada tumhari ban jaaungi main kar lo pakka iraada tumne jo kahaa maine ... zindagi mein agar aaye mod koi ho na jaanaa kahi tum judaa raat ho yaa ho din gam ho yaa ho khushi main tumhara rahunga sada tum bin maanega naa ye man rakhana yaad apnaa vaada tutega naa ab ye bandhan kar lo pakka iraada tumne jo kahaa maine ... tumse milne se pehle main tha bekhabar pyar kya hai mohabbat hai kya ab tumhein zindagi bhar kaa main hamsafar maan luun ye ijaazat hai kya jeevan bhar tumko chaahungaa rakhana yaad apnaa vaada tumko hi apanaaungaa kar lo pakkaa iraadaa tumne jo kahaa maine ...
Back to Film List

About LAAWARIS(1999) Songs and Lyrics

Explore the LAAWARIS(1999) soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for LAAWARIS(1999).

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics