FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from MERE HUZOOR

Read available MERE HUZOOR lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Apne rukh par nigaah

Singer: MOHD RAFI

Lyrics of Apne rukh par nigaah

Apne rukh par nigaah karne d Khoobsurat gunaah karne do rukh se parda hataayo jaan-e-hayaa aaj dil ko tabaah karne do Rukh se zara naqaab utha do, mere huzoor Jalwa phir ek baar dikha do, mere huzoor Vo marmari se haath woh mehka huya badan Takraaya Mere dil se, mohabbat ka ek chaman Mere bhi dil ka phool khila do, mere huzoor Rukh se... Husn-o-jamaal aapka, sheeshe mein dekh kar Madhosh ho chuka hoon main, jalwon ki raah par Gar ho sake to hosh mein laa do, mere huzoor Rukh se... Tum hamsafar mile ho mujhe is hayaat mein mil jaaye jaise chand koyi sooni raat mein jaage tum kahaan yeh bata do, mere huzoor Rukh se...

Jo Guzar Rahi Hai Mujh

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Jo Guzar Rahi Hai Mujh

jo guzar rahi hai mujh par, usse kaise main bataau (2 woh khushi mili hai mujhko, main khushi se mar na jaau (2) mere dil ki dhadkanon ka yeh bayaam tumko pohche main tumhara humnashi hoon yeh salaam tumko pehche usse bandagi main samjhu jo tumhaare kaam aau woh khushi mili hai mujhko, main khushi se mar na jaau haan jo guzar rahi hai mujh par, usse kaise main bataau mere zindagi mein humdum kabhi ghum na tum uthana kabhi aaye jo andhere mujhe pyaar se bulaana main charaag hoon wafa ka main andhere jagmagaau woh khushi mili hai mujhko, main khushi se mar na jaau jo guzar rahi hai mujh par, usse kaise main bataau mere dil ki mehfilo mein woh maqaam hai tumhara ke khuda ke baad lab par bas naam hai tumhara meri aarzoo yahi hai main tumhaare geet gaau woh khushi mili hai mujhko, main khushi se mar na jaau haan jo guzar rahi hai mujh par, usse kaise main bataau woh khushi mili hai mujhko, main khushi se mar na jaau

Phalak Pe Jitne Sitaare Hein

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Phalak Pe Jitne Sitaare Hein

Phalak Pe Jitne Sitaare Hein Voh Bhi Sharamaaye Voh Dene Wale Mujeh Itni Zindagi Dede, Yahi Sazaa Hai Meri Maut Bhi Na Aaye Mujeh, Kisi Ko Chain Mile, Mujh Ko Be Kali De De.. Gham Utane Ke Liye Mein Tho Jiye Jaavunga.. Saaz Ki Lay Pe Tera Naam Liye Jaavunga.. Gham Utane Ke Liye Mein Tho Jiye Jaavunga.. Haye Tune Mujeh Ulphat Ke Siva Kuch Na Diya, Aur Maine Tujeh Nafarat Ke Siva Kuch Na Diya.. Haye Tune Mujeh Ulphat Ke Siva Kuch Na Diya.. Aur Maine Tujeh Nafarat Se Siva Kuch Na Diya, Tujh Se Sharaminda Hun Ay Meri Wafa Ki Devi.. Tera Mujarim Hun Musibat Ke Siva Kuch Na Diya.. Tu Khayalon Mein Meri Ab Bhi Chali Aati Hai, Apne Palkon Ke Un Ashkon Kaa Janaza Lekar, Tu Khayalon Mein Meri Ab Bhi Chali Aati Hai, Apne Palkon Ke Un Ashkon Kaa Janaza Lekar, Tune Neenden Kari, Kurubaan Meri Raahon Mein.. Mein Nashe Mein Raha, Gairon Kaa Sahaara Lekar.. Gham Utane Ke Liye Mein Tho Jiye Jaavunga.. Saaz Ki Lay Pe Tera Naam Liye Jaavunga.. Gham Utane Ke Liye Mein Tho Jiye Jaavunga..
Back to Film List

About MERE HUZOOR Songs and Lyrics

Explore the MERE HUZOOR soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for MERE HUZOOR.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics