FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from MERE MEHEBOOB

Read available MERE MEHEBOOB lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Aaj phurkat ka khwab

Singer: MOHD RAFI

Lyrics of Aaj phurkat ka khwab

aaj phurkat ka khwab toot gaya a mil gaye tum hijab toot gaya tumse izhaar-e-haal kar baithe(2) bekhudi mein kamaal kar baithe(2)re tumse izhaar-e-haal kar baithe kho gaye husn ki baharon mein keh diya raaz-e-dil isharon mein kam hum bemisal kar baithe(2) bekhudi mein kamaal kar baithe tumse izhaar-e-haal kar baithe kitne majboor ho gaye dil se hay kitne majboor ho gaye dil se soche samjhe bagair kaatil se e soche samjhe bagair kaatil se zindagi ka sawaal kar baithe bekhudi mein kamaal kar baithe tumse izhaar-e-haal kar baithe yeh adaye yeh shokhiya tauba bas khuda hi khuda hai us dil ka jo tumhara khayam kar baithe(2) bekhudi mein kamaal kar rr baithe re tumse izhaar-e-haal kar baithe aaaaa tumse izhaar-e-haal kar baithe

Mere Meheboob Tujeh

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Mere Meheboob Tujeh

Mere mehboob tujhe meri mohabbt ki kasam(repeat Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Ae mere khwab ki tasbir meri jaan-e-ghazal Zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai Raat din mujhko satata hai tasavur tera Dil ki dhadkan tujhe awaaz diye jaati hai Aa mujhe apni sadaon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazzara dede Mere mehboob tujhe Bhool sakti nahin ankhen woh suhana manzar Jab tera husn mere ishq se takraya tha Aur phir raha mein bikhre the hazaron naghme Meri woh naghme teri awaaz ko de aaya tha Shazedil ko unhi geeton ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Yaad hai mujhko meri umr ki pehli woh gadi Teri ankhon se koi jaam piya tha maine Mere rug rug mein koi barqse lehrai thi Jab tere marmari haathon ko chua tha maine Aa mujhe phir unhi haathon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Maine ik baar teri ek jhalak dekhi hai Meri hasrat hai ke mein phir tera deedar karoon Tere saaye ko samajh kar mein haseen Taj Mahal Chandni raat me nazaronse tujhe pyar karoon Apni mehki hui zulfon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Dhoond tha hoon tujhe har raah mei har mehfil mein Thak gaye hai meri majboor tamanna ki kadam Aaj ka din meri umeed ki hai aakhri din Kal na jaane mei kahan aur kahan tu hai sanam Do ghadi apni nigahon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Saamne aa ke zara parda utha de rukh se Ik yahi mera ilaaj-e-ghum-e-tanhai hai Teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko Ab to milja ke meri jaan pe ban aayi hai Dil ko bhooli hui yaadon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe Meri mohabbat ki kasam Phir mujhe nargisi ankhon ka sahara dede Mera khoya hua rangeen nazara dede Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam Mere mehboob tujhe

Yaad Mein Teri

Singer: MOHAMMAD RAFI, LATA MANGESHKAR

Lyrics of Yaad Mein Teri

Rafi Yaad mein teri jaag jaag ke ham Raat bhar karvatein badalte hain Har ghadi dil mein teri ulfat ke Dheeme dheeme charaag jalte hain Lata: Jabse tune nigaah pheri hai Din hai suna to raat andheri hai Chaand bhi ab nazar nahin aata Ab sitaare bhi kam nikalte hain Yaad mein teri jaag jaag ke ham Raat bhar karvatein badalte hain Rafi: Lut gayi woh bahaar ki mehfil Chhut gayi hamse pyaar ki manzil Zindagi ki udaas raahon mein Teri yaadon ke saath chalte hain Yaad mein teri jaag jaag ke ham Raat bhar karvatein badalte hain Lata: Tuhjko paakar hamein bahaar mili Tujhse chhutkar magar yeh baat khuli Baagbaan hi chaman ke phoolon ko Apne pairon se khud masalte hain Yaad mein teri jaag jaag ke ham Raat bhar karvatein badalte hain Rafi: Kya kahein tujhse kyun hui doori Ham samajhte hain apni majboori Tujhko maaloom kya ke tere liye Dil ke gham aansuon mein dhalte hai Lata: Yaad mein teri jaag jaag ke ham Raat bhar karvatein badalte hain Har ghadi dil mein teri ulfat ke Dheeme dheeme charaag jalte hain
Back to Film List

About MERE MEHEBOOB Songs and Lyrics

Explore the MERE MEHEBOOB soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for MERE MEHEBOOB.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics