FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from MUGHAL-E-AZAM

Read available MUGHAL-E-AZAM lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Bekas Pe Karam

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Bekas Pe Karam

ai mere mushkilakushaa, fariyaad hai, fariyaad hai aapake hote hue duniya meri barabaad hai bekas pe karam keejiye, sarkaar-e-madeena bekas pe karam keejiye gardish mein hai taqadeer bhanvar mein hai safeena bekas pe karam keejiye, sarkaar-e-madeena bekas pe karam keejiye hai vaqt-e-madad aai bigadi ko banaane gosheeda nahi aapase kuch dil ke fasaane zakmon se bhara hai kisi majaboor ka seena bekas pe karam keejiye chhaai hai museebat ki ghata gesuon vaale, gesuon vaale lillaah meri doobati kashti ko bachaale toofaan ke aasaar hain, dushvaar hai jeena bekas pe karam keejiye gardish mein hai taqadeer bhanvar mein hai safeena bekas pe karam keejiye, sarkaar-e-madeena bekas pe karam keejiye Posted By : Babydoll

Mohe Panghat Pe Nandlal

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Mohe Panghat Pe Nandlal

Mohe Panghat Pe Nandlal Chhed Gayo R Mori Najuk Kalaiyaa Marod Gayo Re Mohe Panghat Pe ... Kankari Mohe Maari Gagariya Phod Daali Mori Saree Anari Bhigoyi Gayo Re Mohe Panghat Pe ... Nayno Se Jadoo Kiya Jiyara Moh Liya Mora Ghoongat Najariya Se Khol Gayo Re Mohe Panghat Pe ...

Pyaar Kiya To Darna

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Pyaar Kiya To Darna

(Lata Mangeshkar Insaan kisee se duniyaan me Yek baar mohabbat karataa hai Is dard ko lekar jiitaa hai Is dard ko lekar marataa hai Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Pyaar kiyaa koi chori nahin ki Pyaar kiyaa Pyaar kiyaa koi chori nahin ki Chhuup chhuup aahe bharnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Aaj kahenge dil kaa fasaanaa Jaan bhee le le chaahe zamaanaa Aaj kahenge dil kaa fasaanaa Jaan bhee le le chaahe zamaanaa Maut wahii jo duniyaan dekhe Maut wahii jo duniyaan dekhe Ghunt ghunt kar yu marnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Unki tamannaa dil mein rahegii Shammaa ise mahafil mein rahegii Unki tamannaa dil mein rahegi Shammaa ise mahafil mein rahegi Ishq mein jiinaa ishq mein marnaa Ishq mein jiinaa ishq mein marnaa Aaur humei ab karnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Chhuup naa sakegaa ishq hamaaraa Chaaro taraf hain unkaa nazaaraa (Choeurs) Aaaaaaaaaaaaaahaaaaaaaaaaaaaaa Chhuup naa sakegaa ishq hamaaraa Chaaro taraf hain unkaa nazaaraa (Lata Mangeshkar) Pardaa nahin jab koi khudaa se Pardaa nahin jab koi khudaa se Bando se pardaa karnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa (Choeurs) Pyaar kiyaa to darnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa (Lata Mangeshkar) Pyaar kiyaa koi chori nahin ki Chhuup chhuup aahe bharnaa kyaa Jab pyaar kiyaa to darnaa kyaa Contributed by: Tarik E.A.

Tere Mehfil Mein

Singer: LATA MANGESHKAR, BEGUM

Lyrics of Tere Mehfil Mein

Teri mehfil mein kismat aazmakar hum bhi dekheng haan ji haan hum bhi dekhenge ik ghadi bhar to tere kareeb aakar hum bhi dekhenge tere kadmon mein sir apna jhukakar hum bhi dekhenge haan ji haan hum bhi dekhenge mohabbat karne walon ka bas yahi hai afsana tadapna chupke chupke aahen bharna, ghut ghut ke mar jana kisi din yeh tamasha muskurakar hum bhi dekhenge hann ji haan hum bhi dekhenge mohabbat humne maana zindagi barbaat karti hain yeh kya kam hai ke mar jaane pe duniya yaad karti hain kisi ke ishq mein duniya luta kar hum bhi dekhenge haan ji haan hum bhi dekhenge Posted By : Tina Malhotra

ye zindgi usi ki hai

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of ye zindgi usi ki hai

Yeh zindagi usi ki ha Jo kisi ka ho gaya pyaar hi me kho gaya Yeh zindagi usi ki hai Yeh bahaar yeh samaah kehraha hai pyaar kar kisi ki arzoo mein apne dil ko bekarar kar yeh zindagi hai bewafa.... zindagi hai bewafa loot pyaar ka mazaa yeh zindagi ....... Dhadak raha hai dil to kya yeh dil ke dhadkanein na gin phir kahaan yeh fursatein phir kahaan yeh raat din Aa rahi hai ye samaah......... Aa rahi hai samaah mastiyon mein doob ja Yeh zindagi........ Jo dil yahaan na mil sake milenge us jahaan mein khilenge hasraton ke phool jo ke aasman mein yeh zindagi chale gayi... Yeh zindagi chale gayi Jo pyaar mein to kya hua Yeh zindagi ... Sunaayegi ye daastan Kshama mera hai pyaar ke yeh shaam hi mein khilti rahi yeh kali anaar ki Ise mazaak mat kaho.... Ise mazaak mat kaho Yeh mahal hai pyaar ka Yeh zindagi ..... Yeh zindagi ki shaam aa........ Yeh zindagi ki shaam aa Tujhe gale lagaun mein Tujhi mein doob jaun mein... Jahan ko bhool jaun mein... Posted By : Poonam Nidhi

Zindabad Zindabad

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Zindabad Zindabad

zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2) zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2) (daulat ki zanjeeron se tu -2) rahati hai aazaad zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2) mandir mein masjid mein tu aur tu hi hai eemaanon mein murali ki taanon mein tu aur tu hi hai aazaanon mein tere dam se deen-dharam ki duniya hai aabaad zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2) pyaar ki aandhi ruk na sakegi nafarat ki deevaaron se koon-e-muhabbat ho na sakega kanjar se talavaron se mar jaate hain aashiq zinda rah jaati hai yaad zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2) (chorus: aa aa aa ishq bagaawat kar baithe to duniya ka ruk mod de aag laga de mahalon mein aur takt-e-shaahi chhod de seena taane maut se khele kuch na kare fariyaad rafi, chorus: zindaabaad! zindaabaad! -2 (ai muhabbat zindaabaad! -2) chorus: aa aa aaa taaj hukuumat jisaka mazahab phir usaka eemaan kahaan -2 jisake dil mein pyaar na ho, wo paththar hai inasaan kahaan -2 pyaar ke dushman hosh men, a ho jaayega barabaad! rafi, chorus: zindaabaad! zindaabaad! (ai muhabbat zindaabaad! -2) (rafi: zindaabaad! zindaabaad! zindaabaad (chorus: zindaabaad! zindaabaad! zindaabaad! zindaabaad!) Posted By : Babydoll
Back to Film List

About MUGHAL-E-AZAM Songs and Lyrics

Explore the MUGHAL-E-AZAM soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for MUGHAL-E-AZAM.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics