FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from MUSKAAN

Read available MUSKAAN lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Jis Din Teri Meri

Singer: UDIT NARAYAN, ANURADHA PAUDWAL

Lyrics of Jis Din Teri Meri

Jis din teri meri baat nahin hoti - Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Naiyyo lagda dil tere bina, naiyyo lagda dil tere bina - 2 Jis din teri meri baat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Naiyyo lagda dil tere bina, naiyyo lagda dil tere bina - 2 Har ghadi aaj kal bas tera intezaar rehta hai O, har ghadi aaj kal bas tera intezaar rehta hai Bhar loon aake tujhko baahon mein dil deewaana kehta hai Dil deewaana kehta hai Chori chori jis din mulaaqaat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Naiyyo lagda dil tere bina, naiyyo lagda dil tere bina Kya karoon ek siva ab tere kuch bhi achha lage na Ho, kya karoon ek siva ab tere kuch bhi achha lage na Saari duniya mujhe lage jhooti, kuch bhi sacha lage na Kuch bhi sacha lage na Pyaarwaali jis din barsaat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Jis din teri meri baat nahin hoti - 2 Din nahin guzarta, raat nahin hoti - 2 Naiyyo lagda dil tere bina, naiyyo lagda dil tere bina - 3

Nami Daanam

Singer: SHAAN, ALKA YAGNIK

Lyrics of Nami Daanam

Mujhe ishq hua kab kaise tujhse mere jaana Dil mujhse poochh raha hai Tujhe yaar kahoon ke yaaram Mujhe ishq hua kab kaise tujhse mere jaanam Dil mujhse poochh raha hai Tujhe yaar kahoon ke yaaram Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam Mujhko neend na ab aaye, har pal dhadkan tadpaaye -2 Betaabi kyoon rehti hai har dam Kyoon meri paayal bajti hai chham chham Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam -2 Mujhe ishq hua kab kaise tujhse mere jaanam Dil mujhse poochh raha hai Tujhe yaar kahoon ke yaaram Tujhko khabar na diljaani main to ban gayi deewaani -2 Chaahoon tujhe jitna bhi, lagta hai mujhe kam Honton pe rehti hai bas teri sargam Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam -2 Mujhe ishq hua kab kaise tujhse mere jaanam Dil mujhse poochh raha hai Tujhe yaar kahoon ke yaaram Nami daanam Nami daanam -7 Nami daanam nami daanam, nami daanam nami daanam Nami daanam nami daanam, nami daanam

Woh Ban Sanvar Ke

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Woh Ban Sanvar Ke

woh ban sanvar ke chale hain ghar s hain khoye khoye se bekhabar se dupattaa dhalkaa huaa hai sar se khudaa bachaaye buri nazar se kabhi jawani ki bekhudi mein jo ghar se baahar kadam nikaalo sunahare gaalon pe meri maano tum ek kaala sa til sajaa lo badan ka sonaa churaa le saara koi nazar uth ke kab kidhar se ye narm-o-naazuk haseen se lab ke jaise do phuul ho kanval ke ye gore mukhade pe laal rangat ke jaise holi ka rang chhalake sambhaalo in lambi chotiyon ko lipat na jaaye kahi kamar se ye shahar pattharon ka shahar thehra kahaan milegi yahaan mohabbat ye sheeshe jaisaa badan tumhara meri duaa hai rahe salaamat tumhaare sapnon ki nanhi kaliyaa bachi rahen dhuup ke asar se

Woh Ho Tum - Sad Version

Singer: SONU NIGAM

Lyrics of Woh Ho Tum - Sad Version

Barbaadi ki taraf moda hai, kyoon moda ha Jisne mera dil toda hai, dil toda hai Barbaadi ki taraf moda hai Jisne mera dil toda hai Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum -2 Ho, tere surkh naazuk larazte labon pe Kisi aur deewaane ka yun naam hoga Tere surkh naazuk larazte labon pe Kisi aur deewaane ka yun naam hoga Na socha tha maine kabhi jaane jaana Mera pyaar bhi aise naakaam hoga Thaamke yeh daaman chhoda hai, kyoon chhoda hai Barbaadi ki taraf moda hai Jisne mera dil toda hai Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum -2 Mohabbat mein tumne kisi roz dilbar Mujhe apni baahon ka sahaara diya tha Ho, mohabbat mein tumne kisi roz dilbar Mujhe apni baahon ka sahaara diya tha Meri chaahaton ko khayaalon ko tumne Bada khubsoorat nazaara diya tha Ab gham se rishta joda hai, kyoon joda hai Barbaadi ki taraf moda hai Jisne mera dil toda hai Voh ho tum voh ho tum, voh ho tum voh ho tum -2
Back to Film List

About MUSKAAN Songs and Lyrics

Explore the MUSKAAN soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for MUSKAAN.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics