FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from NIKAAH

Read available NIKAAH lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Chehra chhupa liya hai kisi ne (male)

Singer: MAHENDRA KAPOOR

Lyrics of Chehra chhupa liya hai kisi ne (male)

Chehra chhupa liya hai kisi ne hijaab mei Jee chaahta hai aag laga du naqaab mein Bijali thi ik jo ham ne chhupa li naqaab mein Lag jaati varnaa aag tumhaare shabaab mein Ham husn ke parvaane jalne se nah darte Anjaam-e-mohabbat ki parvaah nahi karte Ik baar hi dete hain dil apna haseeno ko Ik baar hi marte hain sau baar nahi marte Parvaane se pehele jali aur , Parvaane ke saath jali Woh to jala bas pal do pal Shama to saari raat jali Ek parvaana jala kis qadar shor macha Shama chup-chaap jali lab pe shikwa na gila Kya hai jalne ka maza husn se puchho , Zara kyu ke... Parvaane ko jal jaana ham ne hi sikhaaya hai Woh tab hi jala hamne jab khud ko jalaaya hai Aashiq ki jaan ishq mein jaane se peshkar Khud husn dubtaa hai wafa ke chanaab mein Chehra chhupa liya ... Gar husn nahi hota ye ishq kaha hota Phir kis se wafa karte phir kis ka wafa hota Takraar se kya haasil kuchh bhi na huwa hota Gar tum na haseen hote gar main na , Jawaan hota Jis roz se is husn ka deedaar kiya hai Bas pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai Ye jhoothh hai ke tum ne hame pyaar kiya hai Ham ne tumhe zulfo mein giraftaar kiya hai Tum husn ho ham ishq hain Gar tum tum nahi to ham nahi Hai baat sachchi bas yahi , Koyi kisi se kam nahi Ek naghma hai ek raag hai Dono taraf ek aag hai Tum se hame shikwa bhi hai , Phir bhi tumhise pyaar hai Tum bin hame kab chain ham ko bhi , Ye iqraar hai Dekhe to hosh gum ho na dekhe to hosh gum Ye phans gayi hai jaan meri kis adaab mein Chehra chhupa liyaa ...

Chupke Chupke Raat Din

Singer: GHULAM ALI

Lyrics of Chupke Chupke Raat Din

Oh oh oh, aah aah, oh oh oh, oh ho h Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai - 2 Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai Khench le na voh mera parde ka kona daffatan - 2 Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye - 2 Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai Hm mm mm hm, aah aah, mm mm mm mm, mm mm mm hm mm

Dil Ke Armaan Aansuon Mein Beh Gaye

Singer: SALMA AGHA

Lyrics of Dil Ke Armaan Aansuon Mein Beh Gaye

Dil ke armaan aansuon mein beh gay Dil ke armaan aansuon mein beh gaye -2 Hum wafa karke bhi tanha reh gaye Dil ke armaan aansuon mein beh gaye Zindagi ek pyaas bankar reh gayi -2 Pyar ke kisse adhoore reh gaye -2 Hum wafa karke bhi tanha reh gaye Dil ke armaan aansuon mein beh gaye Shayad unka aakhri ho yeh sitam -2 Har sitam yeh sochkar hum seh gaye -2 Hum wafa karke bhi tanha reh gaye Dil ke armaan aansuon mein beh gaye Khudko bhi humne mita daala magar Faasle jo darmiyaan the reh gaye -2 Hum wafa karke bhi tanha reh gaye Dil ke armaan aansuon mein beh gaye

Dil ki ye aarzoo thi koyi

Singer: MAHENDRA KAPOOR, SALMA AAGHA

Lyrics of Dil ki ye aarzoo thi koyi

Dil ki ye aarzoo thi koyi dilruba mile - Lo ban gaya naseeb ke tum hum se aa mile Dil ki ye aarzoo thi koyi dilruba mile Dekhen hamein naseeb se ab, apne kya mile - 2 Ab tak to jo bhi dost mile, bewafa mile -2 Aankhon ko ik ishaare ki zehmat to dijiye Qadmon mein dil bichha dun ijaazat to dijiye Gham ko gale laga lun jo gham aap ka mile -2 Dil ki ye aarzoo thi koyi dilruba mile Hamne udaasiyon mein guzaari hai zindagi -2 Lagta hai dar fareb bewafa se kabhi kabhi -2 Aisa na ho ke zakhm koyi phir naya mile -2 Ab tak to jo bhi dost mile bewafa mile Kal tum juda huwe the jaha saath chhod kar Hum aaj tak khade hain ussi dil ke mod par Hum ko is intazaar ka kuchh to silaah mile -2 Dil ki ye aarzoo thi koyi dilruba mile Dekhen hamein naseeb se ab, apne kya mile Ab tak to jo bhi dost mile, bewafa mile

Fiza Bhi Hain Jawaan

Singer: HASAN KAMAL

Lyrics of Fiza Bhi Hain Jawaan

Fajaa Bhee Hain Jawaan, Jawaan, Hawaa Bhee Hain Rawaan, Rawaa Sunaa Rahaa Hain Ye Samaa, Sunee Sunee See Daasataan Pukaarate Hain Door Se, Wo Kafile Bahaar Ke Bikhar Gaye Hain Rang Se, Kisee Ke Intajaar Ke Lahar Lahar Ke Honthhapar, Wafaa Kee Hain Kahaniyaan Buzee Magar Buzee Nahee, N Jaane Kaisee Pyaas Hai Karaar Dil Se Aaj Bhee, Naa Door Hain Naa Paas Hai Ye Khel Dhoonp Chhaanw Kaa, Ye Kurbate, Ye Duriyaan Har Yek Pal Ko Dhoondhataa, Har Yek Pal Chalaa Gayaa Har Yek Pal Firaak Kaa, Har Yek Pal Wisaal Kaa Har Yek Pal Gujar Gayaa, Banaa Ke Dil Pe Yek Nishaan
Back to Film List

About NIKAAH Songs and Lyrics

Explore the NIKAAH soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for NIKAAH.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics