FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from PREM NAGAR

Read available PREM NAGAR lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Bye Bye Miss Good Night

Singer: KISHORE KUMAR, CHORUS

Lyrics of Bye Bye Miss Good Night

bye bye bye bye bye bye miss good night kal phir milenge rangeela din beeta rangeeli raat aayi bye bye miss good night kal phir milenge tu kis qadar khoobsurat hai geeta tujhase magar khoobasuurat hai seeta ( reeta tu bhi kuch kam nahi neeta tujh mein dam nahi ) -2 aankhon pe kaisi ye masti si chhaai chhaai chhaai haay ( bye bye mis good night kal phir milenge ) -2 bachapan se dil hai mera aashiqaana ye ishq hai zindagi ka bahaana ( ji na laga mera jhoolon mein main na soya kabhi phoolon mein ) -2 zulfon ke saaye meri neend aai aai aai ( bye bye mis good night kal phir milenge ) -2 har ek haseen ka qadardaan hoon main har dil mein ik raat mehmaan hoon main ( na to main harjaai hoon na hi main saudaai hoon ) -2 jhoothi qasam na kabhi maine khaai khaai khaai bye bye mis good night kal phir milenge rangeela din beeta rangeeli raat aai ( bye bye mis good night kal phir milenge ) -2 bye bye bye bye bye bye

Hey Thandi Hawaaon Ne

Singer: KISHORE KUMAR, LATA MANGESHKAR

Lyrics of Hey Thandi Hawaaon Ne

(hey thandi hawaaon ne gori ka ghoonghat utha diy hey kaali ghataaon ne saajan ko natkhat bana diya) - 2 nagar nagar dagar dagar panghat bana diya gori ka ghoonghat utha diya hey thandi hawaaon ne gori ka ghoonghat utha diya barkha bahaar - 3 aayi barkha bahaar jaane kis birhan ne likhi koi chitthi piya ke des re aayi purwaai leke pardesi preetam ka sandes re baadal ne - 3 rutt ko kajal laga diya hey thandi hawaaon ne gori ka ghoonghat utha diya rimzim puhaar - 3 pade rimzim puhaar teri nazar sabpe tujhe sabki khabar par yeh pata hai ke nahi maine toh saawan se kaha chupkese woh tune suna hai ke nahi saawan se - 3 pehle mann ne bata diya saajan ko natkhat bana diya hey kaali ghataaon ne saajan ko natkhat bana diya main baanwri - 3 hui main baanwri ooi darr gayi bijli si tujhe chhu liya maine yeh badi bhool hui ek hi din ek hi pal ek hi jhonke mein kali phool hui shabnam ko - 3 tumne shola bana diya saajan ko natkhat bana diya hey thandi hawaaon ne gori ka ghoonghat utha diya hey kaali ghataaon ne saajan ko natkhat bana diya (nagar nagar dagar dagar panghat bana diya gori ka ghoonghat utha diya) - 2 saajan ko natkhat bana diya gori ka ghoonghat utha diya...

Yeh Kaisa Surr Mandir Hai

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Yeh Kaisa Surr Mandir Hai

ye kaisa surr mandir hai jis mein sangeet nahi geet likhe deevaaron pe gaane ki reet nahi veena teri meri jaise ek kahaani is ghar mein ham donon ki kisi ne qadar na jaani tera bhi koi meet nahi mera bhi meet nahi ye kaisa sur mandir hai ... moorat rakh dene se kya mandir ban jaata hai yoon hi pada rahane se sheesha patthar ban jaata hai vo pooja kaisi pooja hai jis mein preet nahi ye kaisa sur mandir hai ...

Yeh Laal Rang

Singer: KISHORE KUMAR

Lyrics of Yeh Laal Rang

Yeh laal rang kab mujhe chhodega - Mera gham kab talak mera dil todega Yeh laal rang kab mujhe chhodega Kisi ka bhi liya naam to aayi yaad tu hi tu - 2 Yeh to pyaala sharaab ka ban gaya yeh lahoo Yeh laal rang kab mujhe chhodega Peene ki kasam daal di, peeoonga kis tarah - 2 Yeh na socha tune yaar main jeeoonga kis tarah Yeh laal rang kab mujhe chhodega Chala jaaoon kahin chhodke main tera yeh shaher, haan Chala jaaoon kahin chhodke main tera yeh shaher Na to yahan amrit mile peene ko na zaher Yeh laal rang kab mujhe chhodega Mera gham kab talak, ho mera dil todega Yeh laal rang kab mujhe chhodega
Back to Film List

About PREM NAGAR Songs and Lyrics

Explore the PREM NAGAR soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for PREM NAGAR.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics