FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from PYAAR ISHQ AUR MOHABBAT

Read available PYAAR ISHQ AUR MOHABBAT lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Apni Yaadon Ko

Singer: SHAAN

Lyrics of Apni Yaadon Ko

--MALE- Hmm, apni yaadon ko chhod na jaana Apne vaadon ko tod na jaana Jaana main hoon tera deewana, deewana Aashiq pehla puraana Apni yaadon ko chhod na jaana Apne vaadon ko tod na jaana Jaana main hoon tera deewana, deewana Aashiq pehla puraana Jaise tune toda mera dil, tera dil tootega - 2 Tere haathon se bhi kisi ka daaman chhootega Yaad rakhna, o bekadar, bekhabar bewafa Mm hmm hmm hmm Hmm, saari rasmon ko chhod na jaana Apni kasmon ko tod na jaana Jaana main hoon tera deewana, deewana Aashiq pehla puraana Hmm, mere baad ab kisko barbaad karegi Mere baad ab kisko barbaad karegi Meri tarah tu bhi ek din faryaad karegi Yaad rakhna, o beadab, besamajh beimaan Mm hmm hmm hmm Haan, aise apnon ko chhod na jaana Mere sapnon ko tod na jaana Jaana main hoon tera deewana, deewana Aashiq pehla puraana Apni yaadon ko chhod na jaana Apne vaadon ko tod no jaana Jaana main hoon tera deewana, deewana Aashiq pehla puraana

Chaand ho ya na ho

Singer: SONU NIGAM AND ALKA YAGNIK

Lyrics of Chaand ho ya na ho

--FEMALE- (Chaand ho ya na ho, chaandni raat hai Main tere saath hoon, tu mere saath hai) - 2 --MALE-- Aur kuch ho na ho, ek hi baat hai Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai --FEMALE-- (Kaisa yeh mausam o saajan hai Baadal hai koi na saawan hai) - 2 Lag raha hai magar aaj barsaat hai Main tere saath hoon, tu mere saath hai --MALE-- Mm, aur kuch ho na ho, ek hi baat hai Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai (Pyaar ke kachche dhaage ki is dor se Ek duje ko chal baandh le zor se) - 2 Apne armaanon ki aaj baaraat hai Khoobsurat badi yeh mulaqaat hai --FEMALE-- Chaand ho ya na ho, chaandni raat hai Main tere saath hoon, tu mere saath hai --MALE-- Aa, khoobsurat badi yeh mulaqaat hai --FEMALE-- (Aa aa aa, aa ha ha, aa ha aa aa aa aa)

Main bewafa, main bekadar

Singer: KUMAR SANU

Lyrics of Main bewafa, main bekadar

(Main bewafa, main bekadar, maine tera dil tod Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar) - 2 Duniya ke sab aashiqon ki todi hai sab maine rasme - 2 Beche hai sab apne vaade, bechi hai sab apni kasme Bechi hai sab apni kasme Main bewafa, main bekadar, maine tera dil toda Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar Yeh pyaar ishq aur mohabbat kya hai yeh ab maine jaana - 2 Vaapas magar kaise aaye guzra hua voh zamaana Guzra hua voh zamaana Main bewafa, main bekadar, maine tera dil toda Mera bhi dil toota magar, tujkho nahin iski khabar Teri yaad mein dil thaamkar tadpoonga main saari umar

Pyaar Ishq Aur Mohabbat

Singer: UDIT NARAYAN AND ALKA YAGNIK

Lyrics of Pyaar Ishq Aur Mohabbat

--MALE- Pyaar ishq aur mohabbat - 2 Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai Pyaar ishq aur mohabbat - 2 Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai Pyaar ishq aur mohabbat - 2 Humko bhi rog yeh lag jaaye agar Aisa ho to ho kya, aisa kyoon ho magar Jisne bhi yeh dil diya, jisne bhi yeh gham liya Kuch na poochho uski baatein Lambi lambi kaali raatein Uski aankhon se neend rukhsat ho jaati hai Pyaar ishq aur mohabbat - 2 --FEMALE-- Is jagaa hum mile phool dil mein khile Kya khabar, kya pataa hum mein tum mein ho kya Baaton baaton mein kabhi, aankhon aakhon mein kabhi Chaar din ki dosti mein Ek zara si dillagi mein Bas kisi ek din sharaarat ho jaati hai Pyaar ishq aur mohabbat - 2 Jo bhi inka naam le, pehle dil ko thaam le Naam lene se hi qayaamat ho jaati hai --BOTH-- Pyaar ishq aur mohabbat - 2
Back to Film List

About PYAAR ISHQ AUR MOHABBAT Songs and Lyrics

Explore the PYAAR ISHQ AUR MOHABBAT soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for PYAAR ISHQ AUR MOHABBAT.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics