FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from RAAKHI

Read available RAAKHI lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Raakhi Dhaagon Ka Tyauhaar

Singer: MOH. RAFI

Lyrics of Raakhi Dhaagon Ka Tyauhaar

raakhi dhaagon ka tyauhaar -2 bandha hua ik-ik dhaage mein bhaayee-bahan ka pyaar raakhi dhaagon ka ... kitna komal kitna sundar bhai-behan ka naata is naate ko yaad dilaane ye tyauhaar hain aata behan ke man ki aashaayen raakhi ke ye taar raakhi dhaagon ka ... behan kahe mere veer tujhe na buri najariya laage mere raaja bhaiyya tujhko meri umariya laage dhan hu paraaya phir bhi milungi saal mein to ik baar raakhi dhaagon ka ... bhai kahe o behan main teri laaj ka hu rakhwala gunthunga main pyaar se tere armaanon ki maala bhaai-bahan ka pyaar rahega jab tak hain sansaar raakhi dhaagon ka ...

Raakhi Ka Aaya Tyohaar

Singer: SHAMSHAD

Lyrics of Raakhi Ka Aaya Tyohaar

raakhi ka aaya tyohaar sakhi raakhi ka aaya tyohaar more bhaiyya jiyen jalen ghar mein diye main usi ke liye baandhu raakhi mein aasha ke taar sakhi raakhi ka aaya tyohaar ... uthe man mein umang jaise saagar mein tarang jaise bagiya mein aayi bahaar sakhi raakhi ka aaya tyohaar ... dekhi duniya ki reet bahan bhai ki preet gaao khushi ke geet more baabul ke ghar ka singhaar sakhi sakhi raakhi ka aaya tyohaar ... yu baandhane ko baandho koi hazaar dhaage lekin hazaar par hain raakhi ke chaar dhaage chaar dhaagon mein bandha hai pyaar sakhi raakhi ka aaya tyohaar

Saiyaan Chod De Baiyaan

Singer: LATA MANGESHKAR, MUKESH

Lyrics of Saiyaan Chod De Baiyaan

la : saiyaan chhod de baiyaan meri patali kalaiyaan mud jaayegi mu : tera haath na chhoduun tera saath na chhoduun kahaan jaayegi la : dekho ji dekho kahi dekhe na zamaana pyaar hamaara ban jaaye na fasaana mu : achha nikala hain ye jaane ka bahaana la : saiyaan chhod de ... la : tum mere kaun ho ye duniya na jaane mu : apni bala se koi maane ya na maane la : pyaar mein itne bhi bano na deewane la : saiyaan chhod de ...

Ya Meri Manzil Bata

Singer: MOH. RAFI

Lyrics of Ya Meri Manzil Bata

ya meri manzil bata ya zindagi ko cheen le - 2 jiske peechhe gam lage hon us khushi ko chheen le ya meri manzil ... de nahi sakta agar aaraam ki ik saans bhi -2 paanv mere tod de aavaaragi ko chheen le ya meri manzil ... aankh mein aansu kahaan ro duun jo apane haal par -2 a gayi jo apane gam par us hansi ko chheen le ya meri manzil ...
Back to Film List

About RAAKHI Songs and Lyrics

Explore the RAAKHI soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for RAAKHI.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics