FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from REHGUZAR - THE ROAD TO DESTINY

Read available REHGUZAR - THE ROAD TO DESTINY lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Habibi Habibi Tu Hain Kareebi

Singer: ALISHA CHINAI, AADESH SHRIVASTAV

Lyrics of Habibi Habibi Tu Hain Kareebi

oh yeh teri ada oh jaan-e-jan main tera huan o jaan-e-jana oh yeh teri ada oh jaan-e-jana main tera huan o jaan-e-jana tu dil mein sada dhadkan mein sada rehta hain jaan-e-jana habibi habibi - 3 tu hain kareebi yeh meri adaa oh jaan-e-jana tu mera huan o jaan-e-jana tu dil mein sada dhadkan mein sada rehta hain jaan-e-jana habibi habibi - 3 tu hain kareebi habibi habibi - 3 tu hain kareebi tu pyar mera dildaar mera - 2 aa paas mere ek baar zara tu mujh mein rahen main tujhmein rahu - 2 tu dil mein sada dhadkan mein sada rehta hain jaan-e-jana habibi habibi - 3 tu hain kareebi habibi habibi - 3 tu hain kareebi tu roop mera andaaz mera - 2 tu jaan meri hamraaz mera tu mmujhmein jiye main tujhmein jiyu - 2 tu dil mein sada dhadkan mein sada rehta hain jaan-e-jana habibi habibi - 3 tu hain kareebi yeh teri ada oh jaan-e-jana tu mera huan o jaan-e-jana tu dil mein sada dhadkan mein sada rehta hain jaan-e-jana habibi habibi - 3 tu hain kareebi habibi habibi - 3 tu hain kareebi

Meri Bechainiyaan Meri Khaamoshiyaan

Singer: SHAAN, ALKA YAGNIK

Lyrics of Meri Bechainiyaan Meri Khaamoshiyaan

meri bechainiyaan meri khaamoshiyaa tumse kehne lagi dil ki madhoshiyaan pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi main teri ho gayi - 2 meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan tumse kehne lagi dil ki madhoshiyaan pyar ki chaanv mein aaj se tu kho gayi pyar ki chaanv mein aaj se tu kho gayi main teri ho gayi - 2 meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan - 2 chaandani se dhula mil gaya aasmaan aasmaan pyar karne ka ab aa gaya hain sama yeh sama kar le vaada abhi ham na bichhade kabhi saath apane rahe pyar yeh shabnami pyar ki chaanv mein aaj se tu kho gayi pyar ki chaanv mein aaj se tu kho gayi main teri ho gayi - 2 meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan - 2 ab naa aaye koi pyar ke darmayaan darmayaan ab hai tere liye dil ka yeh aashiyaan aashiyaan tu meri bekhudi tu meri dilkashi naam likh di tere aaj se zindagi pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi main teri ho gayi - 2 meri bechainiyaan meri khaamoshiyaan tumse kehne lagi dil ki madhoshiyaan pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi pyar ki chaanv mein aaj main toh so gayi main teri ho gayi - 2 meri bechainiyaan - 2 meri khaamoshiyaan - 2 meri bechainiyaan - 2 meri khaamoshiyaan - 2

Pyar Bhara Ek Khat

Singer: ABHIJEET

Lyrics of Pyar Bhara Ek Khat

pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain padhte padhte bheegi palken - 2 aankhon se chhalka aansu hain aansu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain iss baar piya tum na aana yeh gham hum tum seh lenge iss baar piya tum na aana yeh gham hum tum seh lenge kuchh paise bach jaayenge - 2 bititya ke jewar le lenge likhte likhte ankh bhar aayi - 2 dil pe kiska kaabu hain kaabu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain budhi maan ki budhi aankhen dekhe yeh ghar ka har kona budhi maan ki budhi aankhen dekhe yeh ghar ka har kona bete ki thaali roz parose - 2 jaane kis din ho aana pal pal maan ka dil rota hain - 2 mamata toh bekaabu hain bekaabu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain woh peepal ki chaanv ghaneri duaaon jaisa apana ganv woh peepal ki chaanv ghaneri duaaon jaisa apana ganv tumko pukaare ganv ki galiya - 2 mehakte saare phool aur kaliyaan birah ki raaten katt jaayegi hone ko roshan jugnu hain jugnu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain padhte padhte bheegi palken - 2 aankhon se chhalka aansu hain aansu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain

Rehguzar - Tanha Tanha Hain Yeh Safar

Singer: SUKHWINDER SINGH

Lyrics of Rehguzar - Tanha Tanha Hain Yeh Safar

tanha tanha hain yeh safa naa pher piya tu mujhse nazar tanha tanha rehguzar rehguzar tanha tanha hain yeh safar - 2 naa pher piya tu mujhse nazar rabba rabba rehguzar - 2 rehguzar rehguzar rehguzar tanha tanha hain yeh safar dil yeh bechain hain manzil bhi duur hain bas teri yaad hain piya dil yeh bechain hain manzil bhi duur hain bas teri yaad hain piya jaaun main ab kidhar mere wajood pe gam ka libaas hai piya manzil ke paas ab kaise main jaaunga mushkil mein jaan hain piya rabba rabba rehguzar - 2 rehguzar rehguzar rehguzar tanha tanha hain yeh safar chaha tha maine jo paya hain maine woh tera ehsaan hain piya chaha tha maine jo paya hain maine woh tera ehsaan hain piya mujhko hai yeh khabar mere yakeen ki tu hi pehchaan hain piya khushiyon ki daur mein tera hi saath hain tera ehsaan hain piya rabba rabba rehguzar - 2 rehguzar rehguzar rehguzar tanha tanha hain yeh safar - 2 naa pher piya tu mujhse nazar rabba rabba rehguzar - 2 rehguzar rehguzar rehguzar rehguzar rehguzar rehguzar rehguzar rehguzar

Woh Chaand Pe Titli Ka Kadam

Singer: UDIT NARAYAN, SHREYA GHOSHAL

Lyrics of Woh Chaand Pe Titli Ka Kadam

woh chaand pe titli ka kadam tum ho ha tum h woh phool pe khushbu ka janam tum ho ha tum ho raat ki baahon mein simti hui ha raat ki baahon mein simti hui woh kaanpte hothon ki sharam tum ho ha tum ho woh chaand pe titli ka kadam main hoon ha main hoon woh phool pe khushbu ka janam main hoon ha main hoon raat ki baahon mein simti hui ha raat ki baahon mein simti hui woh kaanpte hothon ki sharam main hoon ha main hoon zulf teri hain jaise woh ghata tujhse chalti chalti hain jo hawa zulf teri hain jaise woh ghata tujhse chalti chalti hain jo hawa tu jaane na jaane yeh maane na maane - 2 yeh nazaaren hai tere pyar se har shaam ki meethi si chubhan tum ho haa tum ho woh chaand pe titli ka kadam main hoon ha main hoon ho tujhse paya hai maine yeh jahaan tujhsa duja na koi bhi hain yahaan ho tujhse paya hai maine yeh jahaan tujhsa duja na koi bhi hain yahaan yeh dil bhi tumhara yeh jaan bhi tumhari - 2 ham deewane hain tere pyar ke har khwaab ki ujli si kiran main hoon haa main hoon woh chaand pe titli ka kadam main hoon ha main hoon raat ki baahon mein simti hui ha raat ki baahon mein simti hui woh kaanpte hothon ki sharam main hoon ha main hoon woh chaand pe titli ka kadam tum ho ha tum ho woh phool pe khushbu ka janam main hoon ha main hoon woh chaand pe titli ka kadam tum ho ha tum ho
Back to Film List

About REHGUZAR - THE ROAD TO DESTINY Songs and Lyrics

Explore the REHGUZAR - THE ROAD TO DESTINY soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for REHGUZAR - THE ROAD TO DESTINY.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics