FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from ROTI KAPDA AUR MAKAN

Read available ROTI KAPDA AUR MAKAN lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Arey Hai Hai Yeh Majboori

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Arey Hai Hai Yeh Majboori

Are hai hai yeh majboorii, yeh mausam aur yeh doori mujhe pal pal hai tadpaay Teri do takiyan di naukri te mera lakhon kaa saawan jaaye re Are hai hai yeh.... Kitne saawan beet gaye, baithi hoon aas lagaaye Kiss saawan mein mile sajanwa, woh saawan kab aaye kab aaye Madhur milan kaa yeh saawan hathon se nikla jaaye O teri do takiyan.... Prem ka aisa bandhan hai jo bandh ke phir naa toote Are naukari kaa hai kya bharosa, aaj mile kal chhoote, kal choote Ambar pe hai dhara swayam aur phir bhi too ghabraye O teri do takiyan..... Posted By : Babydoll

Aur Nahi Bas Aur Nahi

Singer: MAHENDRA KAPOOR

Lyrics of Aur Nahi Bas Aur Nahi

aur nahi bas aur nahi, gam ke pyaale aur nahi dil mein jagah nahi baaki, rok nazar apni saaki to aur nahin bas ... sapane nahi yahaan tere, apne nahi yahaan tere sachaai ka mol nahi, chup ho ja kuch bol nahi pyaar preet chillaayega to, apna gala ganvaayega patthar rakh le seene par, kasamein kha le jeene par gaur nahi hai aur nahi, parwaano par gaur nahi aansu aansu dhalte hain, angaaron par chalte hain to aur nahi bas aur nahi ... kitna padhu zamaane ko, kitna gadhoon zamaane ko kaun gunon ko ginta hai, kaun dukhon ko chunta hai hamdardi kaafoor hui, neki chakanaachoor hui ji karta bas kho jaaoon, kafan odhakar so jaaoon daur nahi ye aur nahi, insaanon ka daur nahi farz yahaan par farzi hai, asli to khudgarzi hai to aur nahi bas aur nahi ... bimaar ho gayi duniyaa, bekaar ho gayi duniya marne lagi sharam ab to, bikne lage sanam ab to ye raat hai nazaaron ki, gairon ke sath yaaron ki ji hai bigaad doon saari, duniya ujaad doon saari zor nahi hai zor nahi, dil pe kisi ka zor nahi koi yaad machal jaaye, saara aalam jal jaaye to aur nahi bas aur nahi ...

Main Na Bhulunga

Singer: LATA MANGESHKAR, MUKESH

Lyrics of Main Na Bhulunga

mai naa bhooloongaa, main naa bhooloonge mai naa bhooloongaa, main naa bhooloongee in rasamon ko, in kasamon ko, in rishte naaton ko mai naa bhooloongaa, main naa bhooloongee chalo jag ko bhoole, khayaalon mein zoole bahaaron mein dole, sitaaron ko chhoo le aa teree main maang sawaaru, too dulhan ban jaa maang se jo dulhan kaa rishtaa, main naa bhooloongee samay kee dhaaraa me, umar bah jaanee hai jo ghadee jee lenge, wahee rah jaanee hai mai ban jaaoo saans aakharee, too jeewan ban jaa jeewan se saanson kaa rishtaa, main naa bhooloongee barasataa saawan ho, mahakataa aangan ho kabhee dil doolhaa ho, kabhee dil dulhan ho gagan ban kar zoome, pawan ban kar ghoome chalo raahe mode, kabhee naa sang chhode kahee pe chhoop jaanaa hai, najar naheen aanaa hai kahee pe bas jaayenge, ye din kat jaayenge are kyaa baat chalee, wo dekho raat dhalee ye baate chalatee rahe, ye raate dhalatee rahe mai man ko mandir kar daaloo, too poojan ban jaa mandir se poojaa kaa rishtaa main naa bhooloongee

Mehengaayi Maar Gayi

Singer: MUKESH, LATA MANGESHKAR, CHANCHAL, JANI BABU QAWWAL

Lyrics of Mehengaayi Maar Gayi

usane kaha tuu kaun hai, mainne kaha ulfat ter usane kaha takata hai kyaa, mainne kaha suurat teri usane kaha chaahata hai kyaa, mainne kaha chaahat teri mainne kaha samajha nahin, usane kaha qismat teri ek hamein aankh ki ladaai maar gayi duusari to yaar ki judaai maar gayi tisari hamesha ki tanhaai maar gayi chauthi ye khuda ki khudaai maar gayi baaki kuchh bacha to mehnagaayi maar gayi tabiyat thik thi aur dil bhi beqaraar na tha ye tab ki baat hai jab kisi se pyaar na tha jab se prit sapanon mein samaai maar gayi man ke mithe dard ki gaharaai maar gayi nainon se nainon ki sagaai maar gayi soch soch mein jo soch aayi maar gayi, baaki kuchh bacha kaise vaqt mein aa ke dil ko dil ki lagi bimaari mehnagaayi ki daur mein ho gayi manhagi yaar ki yaari dil ki lagi dil ko jab lagaai maar gayi dil ne ki jo pyaar to duhaai maar gayi dil ki baat duniya ko bataai maar gayi dil ki baat dil mein jo chhupaai maar gayi, baaki kuchh bacha pahale mutthi vich paise lekar pahale mutthi mein paise lekar thaila bhar shakkar laate the ab thaile mein paise jaate hain mutthi mein shakkar aati hai haay mehnagaayi mehnagaayi duhaai hai duhaai mehnagaayi mehnagaayi tuu kahaan se aayi, tujhe kyon maut na aayi, hay mehnagaayi shakkar mein ye aate ki milaai maar gayi paudar vaale duddh di malaai maar gayi raashan vaali lain di lambaai maar gayi janata jo chikhi chillaai maar gayi, baaki kuchh bacha garib ko to bachchon ki padhaai maar gayi beti ki shaadi aur sagaai maar gayi kisi ko to roti ki kamaai maar gayi kapade ki kisi ko silaai maar gayi kisi ko makaan ki banavaai maar gayi jivan de bas tinn nisaan-roti kapada aur makaan ??? ??? ke har insaan kho baitha hai apani jaan jo sach sach bola to sachchaayi maar gayi aur baaki kuchh bacha to mehnagaayi maar gayi
Back to Film List

About ROTI KAPDA AUR MAKAN Songs and Lyrics

Explore the ROTI KAPDA AUR MAKAN soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for ROTI KAPDA AUR MAKAN.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics