FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SAAT RANG KE SAPNE

Read available SAAT RANG KE SAPNE lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Aati Hai To Chal

Singer: NITIN MUKESH, ASHA BHOSLE

Lyrics of Aati Hai To Chal

aati hai to chal mere saath mein de de saathiya haathon ko haath mein rehna hai har pal ab tere saath mein le le saathiya haathon ko haath mein mor ke sang hai morni saawan ke saath ghata nadi ke sang naanv hai mausam ke saath hawa aati hai to chal ... tu jo muskuraye khil jaayen gunche gulzaar ke teri chotiyon mein raani mehkein phool bahaar ke par hain suhane tere meethe meethe bol re aa re ja o bhanvare na aage peechhe dol re zor pe hai purvaiya dupatta ud na jaaye kalaai tu jo pakde meri chuudi sharmaaye ho ho aati hai to chal ... mere sapanon ki paayal chhanke gore paanv mein zara der baithein aaj ham palakon ki chhaanv mein saanson mein sitaar pe hamjoli tera naam hai teri meri preet ki paawan sindoori shaam hai door waadi mein jaaye kisi dulhan ki doli saje hain armaan aaise saji jaisi rangeeli aati hai to chal ...

Jhoothi Jhoothi

Singer: UDIT NARAYAN

Lyrics of Jhoothi Jhoothi

Jhoothi, jhoothi, jhoothi jhoothi jhoothi jhooth (Jhooth bol na, sach baat bol de Aaj na chhupa, har bhed khol de) - 2 Kya mila tujhe ek jhooth bolke Sochke zara mujhe bata, mujhe bata Jhooth bol na, sach baat bol de Aaj na chhupa, har bhed khol de Baaghbaan dosti ka kya sila diya Phool khila raha tha khaak mein mila diya Intezaar ab nahin kisi bahaar ka Aashiyaan ujad gaya kisi ke pyaar ka Ruswa hue hum bewaja, ki tune kaisi khata Mujhe bata, mujhe bata Jhooth bol na, sach baat bol de Aaj na chhupa, har bhed khol de Ro raha hai aasmaan, zameen udaas hai Zindagi mein ek anbujhi si pyaas hai Dard ke bhawar mein doobne laga hai mann Door door tak nahin umeed ki kiran Sapnon ki voh manzil mile aisa koi raasta Mujhe bata oh, mujhe bata Jhooth bol na, sach baat bol de Aaj na chhupa, har bhed khol de Jee raha hoon sirf imtahaan ke liye Jaan bhi main doonga apni jaan ke liye Aa gayi hai tere faisle ki ab ghadi Jod de ya tod de dilon ki yeh kadi Saathi bina mar jaaoonga, kya yeh tujhe hai pata Mujhe bata, oh mujhe bata Jhooth bol na, sach baat bol de Aaj na chhupa, har bhed khol de Kya mila tujhe ek jhooth bolke Sochke zara mujhe bata, mujhe bata Jhooth bol na, sach baat bol de Aaj na chhupa, har bhed khol de

Saat Rang Ke Sapne

Singer: S.P. BALSUBRAMANIAM, ALKA YAGNIK

Lyrics of Saat Rang Ke Sapne

saat rang ke sapanon mein main kho gayi sajana odhi chunar tere pyaar ki teri ho gayi sajana maine tujhko pehnaaya hai sajani gajara chuudi kangana chaahein chhoote duniya maine maangi hai dua chhoote tera sang na saat rang ke sapanon ... bole mera kajara bole meri bindiya teri aankhon se piya main churaaun nindiya tere joode ki kasam tere baalon ki kasam main deewana huun tera tere gaalon ki kasam chain se teri baahon mein main so gayi sajana saat rang ke sapanon ... haathon mein mehandi aur mann mein piya lage kahi na piya bin jiya in hawaaon ne kahaa in bahaaron ne kahaa tu hai mera balam in nazaaron ne kahaa teri yaadon mein rahu teri aankhon mein rahu main huun teri zindagi teri saanson mein rahu laut ke na aayi tere ghar mein jo gayi sajana saat rang ke sapanon ...
Back to Film List

About SAAT RANG KE SAPNE Songs and Lyrics

Explore the SAAT RANG KE SAPNE soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SAAT RANG KE SAPNE.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics