FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SAAZ AUR AWAAZ

Read available SAAZ AUR AWAAZ lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Dil Ki Mehefil Saji Hai

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Dil Ki Mehefil Saji Hai

Dil ki mehfil saji hai chale aayiy dil ki mehfil saji hai, chale aayiye aapki bas kami hai, chale aayiye dil ki mehfil saji hai chale aayiye husn waalon ka koyi bharosa nahi kya pata aap aate bhi hai ya nahin aankh dar pe lagi hai chale aayiye dil ki mehfil saji hai chale aayiye... Dil dukhaane lagi dillagi aapki maar daalegi yeh berukhi aapki jaan par ban gayi hai chale aayiye dil ki mehfil saji hai chale aayiye... Kya suhana samah kya haseen raat hai wada karke na aana buri baat hai ab to hadh ho chuki hai chale aayiye dil ki mehfil saji hai chale aayiye aapki bas kami hai chale aayiye dil ki mehfil lagi hai chale aayiye.

Na Phoolon Ki Duniya

Singer: LATA MANGESHKAR, CHORUS

Lyrics of Na Phoolon Ki Duniya

aa aa aa na phoolon ki duniyaa, na taaron ki duniya ye hai bas khayaal-e-bahaaron ki duniya yahaan mast nazarein behakne ko tarse umangon bhare dil dhadakne ko tarse ye hai pyaar ke besahaaron ki duniya yahaan gam hai laakhon, masarrat nahi hai tadapne ki lekin ijaazat nahi hai ye hai ishq ke beqaraaron ki duniya na phoolon ki duniyaa, na taaron ki duniya ye hai bas khayaal-e-bahaaron ki duniya aa aa aa paayaliya baawari baaje paayaliya mori jhanan jhanan jhan jhananan baaje aa aa paayaliya baawari baaje ... aa aa aa aaj sakhi more pee ghar aaye, aa aa aa aaj sakhi more pee ghar aaye dekh-dekh chhab jiyara jaaye baar baar mora mann lehraaye paayaliya baawari baaje ... saat suron ke deep jalaake, aa aa aa saat suron ke deep jalaake prem been ki dhun par gaake aaj naachun main piya ko paake paayaliya baawari baaje ... aa aa aa

Saaz Ho Tum Awaaz Hun Main

Singer: MOHAMMAD RAFI

Lyrics of Saaz Ho Tum Awaaz Hun Main

saaz ho tum awaaz hun main, tum bina ho main hun tar rok sako to rok lo apani, payal ki jhankar saaz ho tum ... mere git ko git ne samajho, pyar ki hai sargam mere rag ke har ek sur pe, ghungharu bole chham chham prit ki lay par jhum ke nacho, ab na karo inkaar rok sako to rok lo apni, payal ki jhankar saaz ho tum ... prem tarana rang pe aya, rup ne li angadai tal pe man ki jhanjhar jhanaki, patali kamar balakhai sudh-budh khokar besudh hokar, nach uthi gulnar rok sako to rok lo apni, payal ki jhankar saaz ho tum ... tan man jhume gagan to chume, prit hui matwaali aj mila jivan se jivan, pyar ne manzil pai dil ki baji jit ke mainne, jit liya sansar rok sako to rok lo apni, payal ki jhankar saaz ho tum ...

Tum Ishq Ki Mehafil Ho

Singer: MOH. RAFI, ASHA BHOSLE

Lyrics of Tum Ishq Ki Mehafil Ho

ra : tum ishq ki mahafil ho tum husn ka jalava ho ya saaj-e-mohabbat par chheda hua nagama ho a : ik baar phir kaho zara ko : ik baar phir kaho zara a : shaayeer ho musavvir ho maaluum nahi kya ho lagata hai mujhe aisa tum meri tamanna ho ra : ik baar phir kaho zara ko : ik baar phir kaho zara ra : zulfen hain ghata jaisi chehara hai kamal jaisa (maramar ka badan pyaara ) -2 hai taajamahal jaisa jaise tumhen qudarat ne haathon se banaaya ho -2 tum ishq ki mahafil ... a : ik baar phir kaho zara ko : ik baar phir kaho zara a : tum kya mile ulfat ki tasveer nazar aai mujhako mere kvaabon ki taabeer nazar aai bharata nahi dil jisase tum aisa nazaara ho -2 shaayeer ho musavvir ho ... ra : ik baar phir kaho zara ko : ik baar phir kaho zara
Back to Film List

About SAAZ AUR AWAAZ Songs and Lyrics

Explore the SAAZ AUR AWAAZ soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SAAZ AUR AWAAZ.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics