FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SATTA

Read available SATTA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Gungunaati Hai

Singer: ASHA BHOSLE, SONU NIGAM

Lyrics of Gungunaati Hai

Gungunaati hai, geet gaati hai zindag Tum jo aaye to Muskuraati hai, khilkhilaati hai zindagi Tum jo aaye to Dil mein ab jaise kaliyaan si khilti hai - 2 Gul khilaati hai, maheke jaati hai zindagi Tum jo aaye to Gungunaati hai, geet gaati hai zindagi Tum jo aaye to Muskuraati hai, khilkhilaati hai zindagi Tum jo aaye to Bechain ek laher thi, ab use mil gaye hai kinaare O bechain ek laher thi, ab use mil gaye hai kinaare Betaab ek nazar thi, ab use mil gaye hai nazaare Dil mein ab jaise tasveerein banti hain - 2 Gudgudaati hai, chhed jaati hai zindagi Tum jo aaye to Gungunaati hai, geet gaati hai zindagi Tum jo aaye to Paaya jo dil ne tumko zindagi har khushi paa gayi hai - 2 Mere hamsafar ho tum jo raah mein raushni chhaa gayi hai Dil mein ab jaise kirne si chhanti hai - 2 Jhilmilaati hai, jagmagaati hai zindagi Tum jo aaye to Gungunaati hai, geet gaati hai zindagi Tum jo aaye to Muskuraati hai, khilkhilaati hai zindagi Tum jo aaye to

Jeevan path mein mod

Singer: SHUBHA MUDGAL

Lyrics of Jeevan path mein mod

Jeevan path mein mod hain kitn Kitne hain doraahein Kaunsi raah ko chhode raahi Kis raah jaana chaahe Kaunse raste apne hain aur kaunse hain begaane Koi nahin yeh jaane Jeevan path mein mod hain kitne Kitne hain doraahein Kaunsi raah ko chhode raahi Kis raah jaana chaahe Zang lagi hain kuch zanjeerein Kaayi lagi kuch deewaarein Zanjeeron mein qaidi sapne Deewaaron pe sar maare Phool sa har dil kaise patthar se kuchla duniya ne Koi nahin yeh jaane Jeevan path mein mod hain kitne Kitne hain doraahein Kaunsi raah ko chhode raahi Kis raah jaana chaahe Kitne bhi ho gehre andhere Koi kiran phootegi Ab na aasha har bandhan se Ek din to chhootegi Nayi umangein aayegi mann ka sansaar sajaane Koi nahin yeh jaane Jeevan path mein mod hain kitne Kitne hain doraahein Kaunsi raah ko chhode raahi Kis raah jaana chaahe Kaunse raste apne hain aur kaunse hain begaane Koi nahin yeh jaane, koi nahin yeh jaane Koi nahin yeh jaane, koi nahin yeh jaane

Masti hi masti

Singer: SHANKAR MAHADEVAN

Lyrics of Masti hi masti

Masti hi masti mann jo paa gaya to mann kyoon na naach Masti mein hum jo gaaye tum bhi gaao Jhoome har pal jo aise mann mera to tan kyoon na naache Hum naache dhoom machaaye tum bhi gaao Masti hi masti lagta hai ke jaise hai barasti Masti hi masti mann jo paa gaya to mann kyoon na naache Masti mein hum jo gaaye tum bhi gaao Jhoome har pal jo aise mann mera to tan kyoon na naache Hum naache dhoom machaaye tum bhi gaao, ho! Ab hota hai jo hone do, khoye hosh to khone do Par tum na khona aisi ghadiyaan Jaagi hui hai saari khushiyaan Saare ghamon ko sone do Hey, masti hi masti dekho hai saari aankhon mein basti Masti hi masti mann jo paa gaya to mann kyoon na naache Hey, masti hi masti mann jo paa gaya to mann kyoon na naache Masti mein hum jo gaaye tum bhi gaao Jhoome har pal jo aise mann mera to tan kyoon na naache Hum naache dhoom machaaye tum bhi gaao Josh mein hum jo aa gaye, lagta hai hum to chhaa gaye O koi na samjhe, koi na jaane Tum bhi deewaane hai hum bhi deewaane Un manzilon ko paa gaye O, masti hi masti milti hai jin manzilon mein sasti Masti hi masti mann jo paa gaya to mann kyoon na naache Masti mein hum jo gaaye tum bhi gaao Jhoome har pal jo aise mann mera to tan kyoon na naache Hum naache dhoom machaaye tum bhi gaao Masti hi, masti hi Masti hi masti lagta hai ke jaise hai barasti Masti hi masti mann jo paa gaya to mann kyoon na naache Masti mein hum jo gaaye tum bhi gaao Tum bhi gaao tum bhi gaao, tum bhi gaao tum bhi gaao - 2

More Saiyyan Bhaye

Singer: ASHA BHOSLE

Lyrics of More Saiyyan Bhaye

More saiyyan bhaye kotwaal, bhaye kotwaa Ho more saiyyan bhaye kotwaal, ab darr kaahe ka - 2 Voh karenge meri dekhbhaal, ab darr kaahe ka Ab main saari nagariya ki hoon rani Main karoon chaahe jitni bhi manmaani Kaun hai, kaun hai Kaun hai jo karega sawaal, ab darr kaahe ka More saiyyan, o more saiyyan More saiyyan bhaye kotwaal, ab darr kaahe ka (Kaam hunter ka loongi najariya se Muft saamaan loongi bajariya se) -2 Jo bhi chaahoon manga loongi thaane mein Kiski himmat kare der laane mein Raat din, raat din Raat din main karoongi dhamaal, ab darr kaahe ka More saiyyan, o more saiyyan More saiyyan bhaye kotwaal, ab darr kaahe ka (Jo bhi aayega najraana laayega Phir bhi dekhoongi to kaanp jaayega) - 2 Mere nakhre uthaayenge saawariya Ghoomoongi leke sarkaari motariya Main lutaaoongi, main lutaaoongi Main lutaaoongi sarkaari maal, ab darr kaahe ka More saiyyan, more saiyyan More saiyyan bhaye kotwaal, ab darr kaahe ka Voh karenge meri dekhbhaal, ab darr kaahe ka Ab main saari nagariya ki hoon rani Main karoon chaahe jitni bhi manmaani Kaun hai, kaun hai Kaun hai jo karega sawaal, ab darr kaahe ka More saiyyan, more saiyyan More saiyyan bhaye kotwaal, ab darr kaahe ka More saiyyan bhaye kotwaal, bhaye kotwaal
Back to Film List

About SATTA Songs and Lyrics

Explore the SATTA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SATTA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics