FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SAVERAA

Read available SAVERAA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Chhupaa Chhupi O Chhupi

Singer: LATA, MANNA DEY, CHORUS

Lyrics of Chhupaa Chhupi O Chhupi

Lata chhuppaa chhuppi, o chhuppi, aagad baagad jaai re chuuhe maamaa, o maamaa, bhaag, billi aayi re chorus: chhuppaa chhuppi, o chhuppi, aagad baagad jaai re chuuhe maamaa, o maamaa, bhaag, billi aayi re mannaa: billi boli myaanv kaahe ghabaraao main to chali kaashi gale mil jaao Lata: o chhuppaa chhuppi chorus: lallalalla lallallaa mannaa: bam bam bam bam bamabam bam myaanv Lata: mat ham ko banaa ari mausi tere dil mein zaruur hai kaalaa chorus: mat ham ko banaa ari mausi tere dil mein zaruur hai kaalaa Lata: kisi aur ko dikhalaa jaake ye jog ye kanthi maalaa chorus: kisi aur ko dikhalaa jaake ye jog ye kanthi maalaa mannaa: raam kaa naam lo aankh se kaam lo raam kaa naam lo aankh se kaam lo kal jo huaa thaa bhuul jaao bhuul jaao Lata: chhuppaa chhuppi mannaa: main to raam ki jogan apanaa paralok sudhaaran jaauun aakir to budhaapaa thaharaa ab laut ke aauun na aauun Lata: daant bhi tez tere panje bhi tez hain daant bhi tez tere panje bhi tez hain man mein wahi hai daav lage to lagaao Lata: chhuppaa chhuppi

Maane Na

Singer: GEETA

Lyrics of Maane Na

maane na maane na maane n tere bin moraa jiyaa na maane aise nainaan bhaye re divaane raam haay raam maane na maane na maane na aisi adaa bhaa gayi ham se rahaa naa gayaa mahafil mein yuun aae vo ki un pe ye dil aa gayaa bin piye hi nashaa chhaa gayaa maane na maane na maane na dekho idhar bhi zaraa ham se sharam kis liye ham to tere ho chuke tere dil mein bharam kis liye ham pe itanaa sitam kis liye maane na maane na maane na ik hi mulaaqaat mein ye kyaa gazab ho gayaa dil ko sambhaalaa magar na jaane kahaan kho gayaa jo bhi honaa thaa vo ho gayaa maane na maane na maane na

Nadiyaa Ke Paani

Singer: LATA

Lyrics of Nadiyaa Ke Paani

(nadiyaa ke paani o re nadiyaa ke paan chup chup jaiyo sajanaa se kahiyo bairi bin tere kaise bitegi jawaani) - 2 mausam aaye mausam jaaye saajan tum na aaye - 2 o bachapan ke mit - 2 tumhaare bin ab rahaa na jaaye nadiyaa ke paani (dil tum ko pahachaane lekin ye ankhiyaan bharamaaye) - 2 in donon ke bich - 2 akele ham tadape rah jaaye nadiyaa ke paani

Thaharo Zaraa Si Der Ko

Singer: GEETA

Lyrics of Thaharo Zaraa Si Der Ko

thaharo zaraa si der to aakir chale hi jaaoge - tum hi kaho karenge kyaa yaad jo ham ko aaoge thaharo zaraa si der to mil jaae teraa pyaar to qismat sanvaar lenge ham - 2 qadamon mein tere zindagi yuun hi guzaar lenge ham dil mein naa rakh sake to kyaa nazaron se bhi giraaoge tum hi kaho karenge kyaa yaad jo ham ko aaoge thaharo zaraa si der to qaabil nahin hain ham tere phir bhi ye hai karam teraa - 2 tujh ko naa paa saken to kyaa mil to gayaa hai gam teraa aankhon se duur jaake bhi dil se naa jaane paaoge tum hi kaho karenge kyaa yaad jo ham ko aaoge thaharo zaraa si der to
Back to Film List

About SAVERAA Songs and Lyrics

Explore the SAVERAA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SAVERAA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics