FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from SHARAFAT

Read available SHARAFAT lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Duniya Ne Sunn Li Hai

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Duniya Ne Sunn Li Hai

duniya ne sunn li hai chupke apani prem kahan raja jaani oye hoy raja jaani - 2 mar gayi meet gayi main ho gayi sharam se paani paani raja jaani oye hoy raja jaani - 2 koi meri atariya aaya aa~ koi meri atariya aaya dekha sabne sarakta saya kal raat chhupke koi meri atariya aaya chor koi hoga main kehke - 2 ban baithi anjaani raja jaani oye hoy raja jaani - 2 dori haathon mein todd du saiyya aa~ dori haathon mein todd du saiyya duniya hothon mein chhod du saiyya lu na badnaami dori haathon mein todd du saiyya kaise chhodu kaise todu - 2 main yeh preet purani raja jaani oye hoy raja jaani - 2

Ek Din Aapko Yaad Kiye Magar

Singer: ASHA BHOSLE

Lyrics of Ek Din Aapko Yaad Kiye Magar

main manaaun bhala kis tarah aap k mere ruuthe hue meharbaan aap hai husn ki yeh kali jiske mann mein khili uske mann ke aji baagbaan aap hai (ek din aapko yaad kiye magar aaj bhuli hui ek kahani hai yeh) - 2 aaj ke roj hi aap aur hum mile par mulakat kitni purani hai yeh ek din aapko yaad kiye magar aaj bhuli hui ek kahani hai yeh ek din aapko aap shayad mujhe na aaj pehchaane - 2 aapki hi likhi ek taqdeer hu aapka rang hai aapka ruup hai - 2 aapki hi banayi main tasveer hu (mere rukh pe koi daag hai toh aji di hui aap hi ki nishaani hai yeh) - 2 ek din aapko main toh paida hui thi sahreefon ke ghar - 2 iss sharafat ko iljaam jisne diya nek aurat hu main band parwar mujhe - 2 yu tawaif ka yeh naam jisne diya (woh meharbaan kahi aap hi toh nahi jis meharbaan ki meharbaani hai yeh) - 2 ek din aapko beizzati ke siwa bebasi ke siwa - 2 aur jisko kisine sambhala nahi jiski baraat galiyon se gujri nahi -2 jisko baabul ne doli mein dala nahi (jisko taqdeer ne laake bazaar mein bech dala meri woh jawani hain yeh) - 2 aaj ke roj hi aap aur hum mile par mulakaat kitni purani hai yeh (ek din aapko yaad kiye magar aaj bhuli hui ek kahani hai yeh) - 2

Pehle Na Dekha Jaise Kisine

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Pehle Na Dekha Jaise Kisine

pehle na dekha jaise kisine aaise mujhe aaj dekha kisine - maine sambhala mushkil se jee ko mujhko sambhala mushkil se jee ne pehle na dekha jaise kisine aaise mujhe aaj dekha kisine woh laakh mujhse daaman bachaye - 2 woh laakh mujhse aankhen churaye aankhen churaye mujhko mohabbat karna sikhaya unki nigaahon ki berukhi ne pehle na dekha jaise kisine aaise mujhe aaj dekha kisine kitna haseen tha woh waqt haai - 2 bas chaand nikla aur aap aaye aur aap aaye maine mubarak di chaandani ko usko mubarak di chaandani ne pehle na dekha jaise kisine aaise mujhe aaj dekha kisine maine sambhala mushkil se jee ko mujhko sambhala mushkil se jee ne

Sharafat Chhod Di Maine

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Sharafat Chhod Di Maine

shareefon ka zamaane mein aji bas haal vo dekha ki sharaafat chhod di maine muhabbat karane vaalon ka yahaan anjaam vo dekha ki muhabbat chhod di maine chhuda ke haath apanon se chali aai main gairon mein pahan li ghungharuon ki phir vahi zanjeer pairon mein main gaaoongi main naachoongi ishaaron pe sitamagaaron ke bagaavat chhod di maine sharaafat chhod di ... na heera hai na moti hai na chaandi hai na sona hai nahi qeemat koi dil ki ye mitti ka khilauna hai meri deevaanagi dekho ki kahana maan ke dil ka ye daulat chhod di maine sharaafat chhod di ...
Back to Film List

About SHARAFAT Songs and Lyrics

Explore the SHARAFAT soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for SHARAFAT.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics