FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from TAJ MAHAL

Read available TAJ MAHAL lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Jurm e Ulfat

Singer: LATA MANGEHKAR

Lyrics of Jurm e Ulfat

aa aa.., aa aa a jurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain -2 kaise naadaan hain, sholoN ko havaa dete hain kaise naadaan hain hamse deevaane kahin tarke vafaa karte hain -2 jaan jaaye ke rahe baat nibhaa dete hain jaan jaaye aap daulat ke taraazoo mein diloN ko taulen -2 ham mohabbat se mohabbat kaa silaa dete hain ham mohabbat se taKht kyaa cheez hai aur laal-o-javaahar kyaa hai -2 ishq vaale to Khudaai bhi luTaa dete hain ishq vaale hamne dil de bhi diyaa ehd-e-vafaa le bhi liyaa -2 aap ab shauq se deden jo sazaa dete hain jurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain

khudaa- e - bartar Teri Zamin Par

Singer: LATA MANGEHKAR

Lyrics of khudaa- e - bartar Teri Zamin Par

khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN ha har ek fatah-o-zafar ke daaman pe Khoon-e-insaaN kaa rang kyoN hai khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai zamin bhi teri, hain ham bhi tere, ye milkiyat kaa savaal kyaa hai ye qatl-o-KhooN kaa rivaaz kyoN hai, ye rasm-e-jang-o-jadaal kyaa hai jinhe talab hai jahaan bhar ki, unhi kaa dil itnaa tang kyoN hai khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai Ghareeb maaNo shareef behnoN ko amn-o-izzat ki zindagi de jinhe ataa ki hai tu ne taaqat, unhe hidaayat ki roshni de saroN mein kibr-o-Ghuroor kyoN hain, diloN ke sheeshe pe jang kyoN hai khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai Khazaa ke raste pe jaanevaaloN ko bach ke aane ki raah denaa diloN ke gulshan ujaD na jaaye, muhabbatoN ko panaah denaa jahaaN mein jashn-e-vafaa ke badle, ye jashn-e-teer-o-tafang kyoN hai khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai har ek fatah-o-zafar ke daaman pe Khoon-e-insaaN kaa rang kyoN hai khudaa-e-bartar teri zamin par, zamin ki khaatir ye jang kyoN hai

na na na re na na

Singer: SUMAN KALYANPURI, MINOO PURSHOTTAM

Lyrics of na na na re na na

su: na na na re na na, haath na lagaana tose baar baar kahooN mohe na sataanaa dooNgi gaariyaaN mi: roop ye suhaanaa, uspe ye baalaa gori tori akhiyaaN hai rang kaa khazaanaa laage pyaariyaaN su: bhaiyaa moraa gabroo hai, ( sainyaa moraa baaNkaa ) -2 chaalengi kaTaaren tere ( muD ke jo jhaaNkaa ) -2 royegaa tor khaDaa na na jaan ganvaanaa ye ( mainn bolooN ) -2 main dooNgi gaariyaaN na na na re n`a na, haath na lagaanaa tose baar baar kahooN mohe na sataanaa dooNgi gaariyaaN mi: nainoN ki kaTaari laage, ( man pe jo thaari ) -2 gensoo jhuke jo tori ( chhab matvaari ) -2 roop jhalak dikhlaanaa nahin tarsaanaa o na bolo ye batiyaaN na bolo gaariyaaN roop ye suhaanaa, uspe ye baalaa gori tori akhiyaaN hai rang kaa khazaanaa laage pyaariyaaN su: roop ke khazaane pe hai ( sainyaa ji kaa pahraa ) -2 jiven more saiyaaN jaase ( pyaar moraa gahraa ) -2 tu hai puruSh anjaanaa, binaa pahchaanaa re ( main bolooN ) -2 main dooNgi gaariyaaN mi: roop ye suhaanaa, uspe ye baalaa gori tori akhiyaaN hai rang kaa khazaanaa laage pyaariyaaN su: na na na re na na, haath na lagaanaa tose baar baar kahooN mohe na sataanaa dooNgi gaariyaaN

Paanva Choo Lene Do

Singer: MOHD. RAFI, LATA MANGESHKAR

Lyrics of Paanva Choo Lene Do

ra: paaNv chhoo lene do phooloN ko inaayat hogi, inaayat hog varnaa hamko nahin, inko bhi shikaayat hogi shikaayat hogi la: aap jo phool bichhaayen unhen ham Thukraayen - 2 hamko Dar hai hamko Dar hai ke ye tauheen-e-muhabbat hogi, muhabbat hogi ra: dil ki bechain umangoN pe karam farmaao - 2 itnaa ruk ruk itnaa ruk ruk ke chaloge to qayaamat hogi, qayaamat hogi paaNv chhoo lene do phooloN ko inaayat hogi, inaayat hogi la: sharm roke hai idhar, shauq udhar khinche hai - 2 kyaa Khabar thi kyaa Khabar thi kabhi is dil ki ye haalat hogi ye haalat hogi ra: sharm gairoN se huaa karti hai apnoN se nahin - 2 sharm ham se sharm ham se bhi karoge to museebat hogi, museebat hogi paaNv chhoo lene do phooloN ko inaayat hogi, inaayat hogi la: hamko Dar hai ke ye tauheen-e-muhabbat hogi, muhabbat hogi
Back to Film List

About TAJ MAHAL Songs and Lyrics

Explore the TAJ MAHAL soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for TAJ MAHAL.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics