FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from TARAANA

Read available TARAANA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Jali Jo Shaakh-E-Chaman

Singer: TALAT

Lyrics of Jali Jo Shaakh-E-Chaman

jali jo shaakh-e-chaman, saath baagbaan bhi jala jala ke mere nasheman ko aasmaan bhi jala ek main hu ek meri beqasi ki shaam hai ab to tujh bin zindagi bhi mujh pe ik ilzaam hai dil pe kya guzari tere jaane se koi kya kahe saans jo aati hai vo bhi dard ka paigaam hai aansuon mujh par hanso mere muqaddar par hanso ab kahaan vo zindagi jis ka muhabbat naam hai

Kya Khabar Thi

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Kya Khabar Thi

kya khabar thi ki muhabbat mein ye din aate hain jise ham apna banate hain, vo tadpate hain vo din kaha gaye bata-2 jab is nazar mein pyar tha, pyar tha vo din kaha gaye bata main ne to kuch kaha nahi jo yu nigaahe pher li main ne to kuch kaha nahi vo raat yaad hai yahi, kissa hua tha pyar ka vo din kaha gaye bata (aankhon mein neend thi magar soye nahi the raat bhar)-2 dil ko laga hua tha darr shaam savera ho gaya vo din kaha gaye bata

Nain Mile Nain Hue Baawre

Singer: TALAT, LATA

Lyrics of Nain Mile Nain Hue Baawre

talat: nain mile nain hue baaware nain mile nain hue baaware lata: chain kaha mohe sajan saanvare dono: nain hue baaware nain mile nain hue baaware lata: dekhate hi dekhate main kho gayi jaagate hi jaagate main so gayi ab kabhi main jaagana na chahu re nain hue baaware talat: chalte chalte paanv mere tham gaye tum mile to dil ke saare gam gaye mil gayi zulfon ki thandi chhaanv re nain hue baaware lata: dhadkane dil ki chhupau kis tarah o aa aa dhadkane dil ki chhupau kis tarah laaj ka ghunghat uthaau kis tarah kis tarah saajan teri ban jaau re nain hue baaware talat: nainon se naina tere kuch keh gaye o aa aa nainon se naina tere kuch kah gaye pyar ki leharon mein do dil beh gaye ab ruke na preet ki ye naav re dono: ab ruke na preet ki ye naav re nain hue baaware talat: nain mile nain hue baaware lata: chain kaha mohe sajan saanware dono: nain hue baaware

Seene mein sulagte hain armaan

Singer: TALAT MEHMOOD, LATA MANGESHKAR

Lyrics of Seene mein sulagte hain armaan

Seene mein sulagte hain armaa Aankho mein udaasi chhaayi hai Ye aaj teri duniya se hamein Taqdeer kaha le aayi hai Seene mein sulagte hain armaan Kuchh aankh mein aansoo baaki hain Jo mere gham ke saathi hain - 2 Ab dil hain na dil ke armaan hain - 2 Bas main hu meri tanhaai hai Seene mein sulagte hain armaan Na tujhse gila koyi hamko Na koyi shikaayat duniya se Do chaar qadam jab manzil thi - 2 Qismat ne thhokar khaayi hai Seene mein sulagte hain armaan Kuchh aisi aag lagi man mein Jeene bhi na de marne bhi na de ... Chup hu to kaleja jalta hai - 2 Bolu to teri ruswaayi hai Seene mein sulagte hain armaan

Sultana Sultana

Singer: USHA MANGESHKAR

Lyrics of Sultana Sultana

Rani: Sultana Sultana Mera Naam Hai Sultan Mere Husn Ka Har Andaz Mastana Main Pariyon Ki Rani Chorus: Kuku Rani: Meri Chadhti Jawani Chorus: Kuku Rani: Jo Bhi Dekhe Ho Jaye Deewana Chorus: Sultana Rani: Sultana...Mastana Main Chaal Chalun To Hirni Ruk Jaye Angdayee Loon To Bijli Sharmaye, Haan! Main Shokh Kali Hoon Chorus: Kuku Rani: Chanchal Titli Hoon Chorus: Kuku Rani: Main Shokh Kali Chanchal Titli Har Koi Deta Hai Dil Nazrana Chorus: Sultana Rani: Sultana...Mastana Masoom Samajh Ke Dore Mat Daalo Dil Se Jaoge Are O Dilwalon Haan Main Aaj Yahan Hoon Chorus: Kuku Rani: Kal Jaane Kahan Hoon Chorus: Kuku Rani: Main Aaj Yahan Kal Jaane Kahan Banjaron Ka Kab Koi Thikana Chorus: Sultana Rani: Sultana Sultana Mera Naam Hai Sultana Mere Husn Ka Har Andaz Mastana
Back to Film List

About TARAANA Songs and Lyrics

Explore the TARAANA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for TARAANA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics