FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from TAREEF US KHUDA KI

Read available TAREEF US KHUDA KI lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Ab Toh Mere Khuda

Singer: JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH

Lyrics of Ab Toh Mere Khuda

ab toh mere khuda mujhe jalwa dikhaaiye apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye kuch keh rahi hain aap se seene ki dhadakanen mera nahi to dil ka kaha maan jaaiye apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye main jaanta hoon tu bada rahamat-navaaz hai sab ke dilon pe raham ka jaadu jagaaiye apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye muddat se tishnagi hai tumhaare jamaal ki noor-e-kamaal se zara parda uthaaiye apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye

Chiraag Dil Ke Jalaao

Singer: JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH

Lyrics of Chiraag Dil Ke Jalaao

chiraag dil ke jalaao ki eed ka din hai taraane jhoom ke gaao ki eed ka din hai gamon ko dil se bhulaao ki eed ka din hai kushi se bazm sajaao ki eed ka din hai taraane jhoom ke gaao ki eed ka din hai huzuur us ke karo ab salaamati ki dua sar-e-niyaaz jhukaao ki eed ka din hai taraane jhoom ke gaao ki eed ka din hai sabhi muraaden ho pooreen har ek savaali ki dua ko haath uthaao ki eed ka din hai taraane jhoom ke gaao ki eed ka din hai

Duniya Se Dil Lagakar

Singer: JAGJIT SINGH

Lyrics of Duniya Se Dil Lagakar

duniya se dil laga kar duniya se kya milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega daulat ho ya hukuumat, taaqat ho ya jawani har cheez mitne wali, har cheez aani-jaani ye sab gurur ek din mitti mein ja milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega aata nahi palat kar guzra hua zamana kya khwab ka bharosa, kya maut ka thikana ye zindagi ganva kar kya faayada milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega

Madeene Ko Jaayen

Singer: CHITRA SINGH

Lyrics of Madeene Ko Jaayen

madeene ko jaayen ye ji chaahata hai muqaddar banaayen ye ji chaahata hai madeene ke aaqaa, do alam ke maula tere paas aayen ye ji chaahata hai madeene ko jaayen ye ji chaahata hai jahaan donon aalam hain mahv-e-tamanna vahaan sar jhukaayen ye ji chaahata hai madeene ko jaayen ye ji chaahata hai muhammad ki baaten, muhammad ki seerat sune aur sunayen ye ji chaahata hai madeene ko jaayen ye ji chaahata hai

Sunte hain ke mil jaati hai

Singer: JAGJIT SINGH & CHITRA SINGH

Lyrics of Sunte hain ke mil jaati hai

Sunte hain ke mil jaati ha har cheez dua se Ek roz tumhain maang ke dekhenge Khuda se Duniya bhi mili hai, gham-e-duniya bhi mila hai Vo kyon nahin milta jise maanga tha khuda se Sunte hain ke mil jaati hai har cheez dua se Ek roz tumhain maang ke dekhenge khuda se

Tareef Us Khuda Ki

Singer: JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH

Lyrics of Tareef Us Khuda Ki

taareef us khuda ki jis ne jahaan banaya kaisi zameen banaayi, kya aasamaan banaya mitti se bel boote kya khushnuma ugaaye pehna ke sabz khillat unko jawaan banaaya suraj se ham ne payi garmi bhi roshani bhi kya khoob chashma tu ne ae meharbaan banaya har cheez se hai us ki kaarigari tapakti ye kaarkhana tu ne kab raigaan banaya

Tujhe Dhoondhata Tha Main

Singer: JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH

Lyrics of Tujhe Dhoondhata Tha Main

tujhe dhoondhata tha main chaar su teri shaan jall-e-jalaalahu tu mila qareeb-e-rag-e-gulu teri shaan jall-e-jalaalahu tujhe dhoondhata tha main chaar su teri yaad mein hai kali kali hai chaman-chaman hoo-al-ali tu basa hai phool mein hoobahu teri shaan jall-e-jalaalahu tujhe dhoondhata tha main chaar su tere huqm se jab hawa chali to chatak ke boli kali kali hai kareem tuu, hai raheem tuu teri shaan jall-e-jalaalahu tujhe dhoondhata tha main chaar su tera jalawa donon jahaan mein hai tera noor kaun-o-makaan mein hai yahaan tu hi tuu, wahaan tu hi tu teri shaan jall-e-jalaalahu tujhe dhoondhata tha main chaar su

Zara Chehare Se Kamli

Singer: JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH

Lyrics of Zara Chehare Se Kamli

zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah hamein bhi apna deevaana bana do ya rasoolallaah zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah muhabbat gair se meri chuda do ya rasoolallaah meri soyi hui qisamat jaga do ya rasoolallah zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah badi qisamat hamaari hai ke ummat mein tumhaari hai bharosa deen-o-duniya mein tumhaara ya rasoolallaah zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah andheri qabr mein mujh ko akela chod jaayenge vahaan ho fazl se tere ujaala ya rasoolallaah zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah kuda mujh ko madeene mein jo pahunchaaye to behatar hai ke roze par hi de doon jaan ja kar ya rasoolallaah zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah
Back to Film List

About TAREEF US KHUDA KI Songs and Lyrics

Explore the TAREEF US KHUDA KI soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for TAREEF US KHUDA KI.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics