FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from YES BOSS

Read available YES BOSS lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Chaand Taare Tod Laoon

Singer: ABHIJEET

Lyrics of Chaand Taare Tod Laoon

Jo Bhi Chaahoon Vo Main Paoo Zindagi Mein Jeet Jaoon Chaand Taare Tod Laoon Saari Duniya Par Main Chhaoon Bas Itna Sa Khwaab Hai Bas Itna Sa Khwaab Hai Chaand Taare Tod Laoon Saari Duniya Par Main Chhaoon Bas Itna Sa Khwaab Hai Bas Itna Sa Khwaab Hai Yaar Tu Bhi Sun Zara Aarzoo Meri Hai Kya Main Kya Ban Jaana Chaahta Hoon Main Kahan Kharaab Hoon Main To Lajawaab Hoon Main Ye Manvana Chaahta Hoon Maan Ja Ay Khuda Itni Si Hai Dua Main Ban Jaoon Sabse Bada Main Ban Jaoon Sabse Bada Mere Peechhe Mere Aage Haath Jode Duniya Bhaage Bas Itna Sa Khwaab Hai Bas Itna Sa Khwaab Hai Shaan Se Rahoon Sada Mujhpe Log Hon Fida Haseenayein Bhi Dil Hon Khoti Dil Ka Ye Kamal Khile Sone Ka Mahal Mile Barasne Lage Heerein Moti Maan Ja Ay Khuda Itni Si Hai Dua Main Jyaada Nahin Maangta Main Jyaada Nahin Maangta Saari Daulat Saari Taakat Saari Duniya Par Hukoomat Bas Itna Sa Khwaab Hai Bas Itna Sa Khwaab Hai Bas Itna Sa Khwaab Hai .

Choodi Baji Hai

Singer: UDIT NARAYAN & ALKA YAGNIK

Lyrics of Choodi Baji Hai

Choodi Choodi Chood Kuchh Kahe Kangana Kyon Baja Kya Pata Kya Hua Choodi Baji Hai Kahin Door Chhan Chhan Chhan Kangana Baja Hai Kahin Door Khan Khan Khan Choodi Baji Hai Kahin Door Chhan Chhan Chhan Kangana Baja Hai Kahin Door Khan Khan Khan Ye Tera Kajra Ye Tera Gajra Luta Doon Aaj Is Pe Tan Man Dhan Choodi Baji Hai Kahin Door Chhan Chhan Chhan Kangana Baja Hai Kahin Door Khan Khan Khan Gin Gin Taare Raat Guzaroon Din Din Bhar Main Tujhe Pukaroon Sanvre.. Gin Gin Taare Raat Guzaroon Din Din Bhar Main Tujhe Pukaroon Goonjti Hai Pavan Jaise San San San San Choodi Baji Hai Kahin Door Chhan Chhan Chhan Kangana Baja Hai Kahin Door Khan Khan Khan Khilte Khilte Gul Khilte Hain Milte Milte Dil Milte Hain Goriye ... Khilte Khilte Gul Khilte Hain Milte Milte Dil Milte Hain Dil Milein To Baje Saaj Jhan Jhan Jhan Jhan Haan Choodi Baji Hai Kangana Baja Hai O O Choodi Baji Hai Kahin Door Chhan Chhan Chhan Kangana Baja Hai Kahin Door Khan Khan Khan Ye Tera Kajra Ye Tera Gajra Luta Doon Aaj Is Pe Tan Man Dhan Luta Doon Aaj Is Pe Tan Man Dhan .

Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge

Singer: KUMAR SANU & ALKA YAGNIK

Lyrics of Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge

Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayeng Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge Maine Socha Na Tha Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge Maine Socha Na Tha Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen Maine Socha Na Tha Dil Ki Daali Pe Kaliyaan Si Khilne Lagin Jab Nigaahein Nigaahon Se Milne Lagin Dil Ki Daali Pe Kaliyaan Si Khilne Lagin Jab Nigaahein Nigaahon Se Milne Lagin Ek Din Is Tarah Hosh Kho Jayenge Paas Aaye To Madhosh Ho Jayenge Maine Socha Na Tha Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge Maine Socha Na Tha Jagamagati Hui Jaagti Raat Hai Raat Hai Ya Sitaaron Ki Barsaat Hai Jagamagati Hui Jaagti Raat Hai Raat Hai Ya Sitaaron Ki Barsaat Hai Ek Din Dil Ki Raahon Mein Apne Liye Jal Uthenge Mohabbat Ke Itne Diye Maine Socha Na Tha Ek Din Zindagi Itni Hogi Haseen Jhoomega Aasmaan Gaayegi Ye Zameen Maine Socha Na Tha Ek Din Aap Yoon Humko Mil Jayenge Phool Hi Phool Raahon Mein Khil Jayenge Maine Socha Na Tha Maine Socha Na Tha Maine Socha Na Tha .

Jaata Hai Tu Kahan

Singer: ABHIJEET

Lyrics of Jaata Hai Tu Kahan

Jaata Hai Tu Kaha Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Sun Pyaare Sun Pyaare Ruk Ja Re Duniya Ke Bade Tedhe Medhe Raaste Khatre Hi Khatre Hain Tere Vaaste Jaata Hai Tu Kahan Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Duniya Mein Aaj Kal Aisi Bhi Loot Hai Kehne Ko Pyaar Hai Samjho To Jhoot Hai Dekh Tu Dokhe Mein Yahan Tere Haath Hai Kiske Haathon Mein Jaata Hai Tu Kahan Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Sha la la... Pyaar To Karte Hain Jo Shor Dhyaan Hai Tera Jinki Or Aa Main Bata Doon Kaun Hai Vo Raat Mein Daaku Din Mein Chor Jaata Hai Tu Kahan Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Haath Main Jodoon Tore Padoon Main Balma Tore Paiya Chhodke Tu Mohe Na Ja Vinnati Karoon More Sainya Oh Sun Lo Mori Arj Sajanwa Poochhe Tose Mora Manwa O Jaanewale Ye To Bata O Jaanewale Ye To Bata Jaata Hai Tu Kahan Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Jaan Tu Jo Baat Kahoon Main Ishaaron Mein Haan Ishaaron Mein Bikte Hain Eemaan Yahan Bazaaron Mein Bazaaron Mein Anjaane Tu Na Jaane Koi Jaal Phaila Teri Raahon Mein Hai Koi Baat Hai Jo Meri Baaton Mein Hai Tu Ye Jaan Le Baaton Baaton Mein Jaata Hai Tu Kahan Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Faisla Tujhko Aaj Karna Hai Doob Jaana Hai ya Ubharna Hai Us Taraf Jhooth Hai Dikhaava Hai Is Taraf Pyaar Ka Bulaava Hai Us Taraf Laalchi Nigaahein Hain Is Taraf Mere Dil Ki Aahein Hain Jaata Hai Tu Kahan Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Sun Pyaare Ruk Ja Re Sun Pyaare Ruk Ja Re Duniya Ke Bade Tedhe Medhe Raaste Khatre Hi Khatre Hain Tere Vaaste Jaata Hai Tu Kahan Arre Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan Jaata Hai Tu Kahan Re Baba Jaata Hai Tu Kahan

Main Koi Aisa Geet Gaoon

Singer: ABHIJEET & ALKA YAGNIK

Lyrics of Main Koi Aisa Geet Gaoon

Main Koi Aisa Geet Gaoo Ki Aarzoo Jagaoon Main Koi Aisa Geet Gaoon Ki Aarzoo Jagaoon Agar Tum Kaho Main Koi Aisa Geet Gaoon Ki Aarzoo Jagaoon Agar Tum Kaho Main Koi Aisa Geet Gaoon Ki Aarzoo Jagaoon Agar Tum Kaho Tumko Bulaoon Ye Palkhein Bichhaoon Kadam Tum Jahan Jahan Rakho Zameen Ko Aasmaan Banaoon Sitaron Se Sajaoon Agar Tum Kaho Main Koi Aisa Geet Gaoon Ki Aarzoo Jagaoon Agar Tum Kaho Main Titliyon Ke Peechhe Bhagoon Main Jugnuon Ke Peechhe Jaoon Ye Rang Hai Vo Roshni Hai Tumhare Paas Dono Laoon Jitni Khushbuain Baag Mein Milein Haan Jitni Khushbuain Baag Mein Milein Main Laoon Vahan Pe Ki Tum Ho Jahan Jahan Pe Ek Pal Bhi Thehro Main Gulsitaan Banaoon Agar Tum Kaho Main Koi Aisa Geet Gaoon Ki Aarzoo Jagaoon Agar Tum Kaho Agar Kaho To Main Sunaoon Tumhein Haseen Kahaniyaan Sunogi Kya Meri Zabani Tum Ek Pari Ka Daastaan Ya Main Karoon Tumse Bayaan O Ya Main Karoon Tumse Bayaan Ki Raja Ko Rani Mili Thi Kahan Kahaniyon Ke Nagar Mein Tumhein Leke Jaoon Agar Tum Kaho Tumko Bulaoon Ye Palkhein Bichhaoon Kadam Tum Jahan Jahan Rakho Zameen Ko Aasmaan Banaoon Sitaron Se Sajaoon Agar Tum Kaho Main Koi Aisa Geet Gaoon Ki Aarzoo Jagaoon Agar Tum Kaho Agar Tum Kaho

Suniye To Rukiye To

Singer: ABHIJEET

Lyrics of Suniye To Rukiye To

Suniye To Rukiye T Kyon Hain Khafa Arre Kahiye To Aisi Kya Jaldi Jaane Ki OOO.. Deewana Hoon Maana Suniye Deewane Ki Suniye To Rukiye To Kyon Hain Khafa Arre Kahiye To Aisi Kya Jaldi Jaane Ki OOO.. Deewana Hoon Maana Suniye Deewane Ki Ye Shaam Ka Dilkash Manzar Ye Saahil Aur Samandar Kehte Hain Aap Na Jaayein Hum Par Ye Karam Farmayein Ye Shaam Ka Dilkash Manzar Ye Saahil Aur Samandar Kehte Hain Aap Na Jaayein Hum Par Ye Karam Farmayein Suniye To Kehti Hain Balkhati Lehrein OOO... Aap Zara Kuchh Der to Thehrein OOO... Suniye To Rukiye To Kyon Hain Khafa Arre Kahiye To Aisi Kya Jaldi Jaane Ki OOO.. Deewana Hoon Maana Suniye Deewane Ki Ithlaati Shokh Havayein Bheegi Rangeen Fizayein Jo Aapko Dekhe Jaaye To Seekhe Aur Adayein Ithlaati Shokh Havayein Bheegi Rangeen Fizayein Jo Aapko Dekhe Jaaye To Seekhe Aur Adayein Suniye To Ye Zulfein Jo Dekhe Badal OOO... Saare Baras Barse Vo Baadal OOO... Hey Suniye To Rukiye To Kyon Hain Khafa Arre Kahiye To Aisi Kya Jaldi Jaane Ki OOO.. Deewana Hoon Maana Suniye Deewane Ki Hey Suniye To Rukiye To Haan Kyon Hain Khafa Arre Kahiye To Aisi Kya Jaldi Jaane Ki OOO.. Deewana Hoon Maana Suniye Deewane Ki OOO...
Back to Film List

About YES BOSS Songs and Lyrics

Explore the YES BOSS soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for YES BOSS.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics