FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from ZUBEIDAA

Read available ZUBEIDAA lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Chhodo More Baiyyaan

Singer: RICHA SHARMA

Lyrics of Chhodo More Baiyyaan

saiyyaan saiyyaan chhodo more baiyyaan saiyyaa maano bhi kanhaai hogi jag hansaai dekho dekho dekh rahin hain saari guiyaan saiyyaan chhodo saiyyaan chhodo mori baiyyaan saiyyaan chuudi jo koi tuti maathe se bindiyaa chhuti hai ghar kya bataaungi main hai mar jaaungi jaane do mohe kanha, kanha ji more kanha jaane do mohe kanha saiyyaan chhodo na more baiyyaan chhodo more baiyyaan chhodo na more chhodo more baiyyaan saiyyaan chhodo na more baiyyaan saiyyaan chhodo baiyyaan hai baiyyaan

Pyaara Sa Gaaon

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of Pyaara Sa Gaaon

Hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm h Hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm Ah ha ha aa aa aa aa aa Door kahin ek aam ki bagiya Ah ha ha aa aa aa aa aa Door kahin ek aam ki bagiya Bagiya mein hai thandi chhaaon Chhaaon mein ek kachcha rasta Raste mein pyaara sa gaaon Gaaon mein ek chhota sa ghar Ghar mein ek ujla sa aangan Aangan mein chandan ka palna Palne mein chanda sa munna Munne ki aankhon mein nindiya Door kahin ek aam ki bagiya Bagiya mein hai thandi chhaaon Chhaaon mein ek kachcha rasta Raste mein pyaara sa gaaon Neele neele aasmaan mein taaron ka hai ek nagar Jagmag jagmag ek taare par ek shehzaadi ka hai ghar Chupke chupke raat ko uthke dhyaan se dekhe koi agar Jhilmil jhilmil hai taarein mein us shehzaadi ke zevar Shehzaadi ithlaaye, shehzaadi yeh gaaye Door kahin ek aam ki bagiya Aadhi raat jab ho jaati hai, jab duniya so jaati hai Taaron se shehzaadi utarke munne ke ghar aati hai Meethe meethe saare sapne apne saath voh laati hai Sote munne ki palkon pe yeh sapne voh sajaati hai Sirhaane voh aaye, haule se voh gaaye Door kahin ek aam ki bagiya

So Gaye Hain

Singer: LATA MANGESHKAR

Lyrics of So Gaye Hain

So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane Koi to aata phir se kabhi inko jagaane So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane Saans bhi leti hain jo kathputliyaan Unki bhi thaame hain koi doriyaan Aansuon mein bheegi hain khaamoshiyaan So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane Dil mein ek parchhaayi hai lehraayi si Aarzoo meri hai ek angdaayi si Ek tamanna hai kahin sharmaayi si So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
Back to Film List

About ZUBEIDAA Songs and Lyrics

Explore the ZUBEIDAA soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for ZUBEIDAA.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics