FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from HUM KISI SE KAM NAHIN

Read available HUM KISI SE KAM NAHIN lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Bachna Ae Haseeno

Singer: KISHORE KUMAR

Lyrics of Bachna Ae Haseeno

Bachnaa ae haseenon lo main aa gayaa Hay, bachnaa ai haseenon lo main aa gayaa Husn ka aashiq, husn ka dushman Apni ada hai yaaron se judaa, hai ho! Hai, bachnaa.. Hai, duniya mein nahin hai, aaj meraa sa deevaana Pyaar vaalon ki jubaan pe, hai mera hi taraana Sabki rang bhari aankhon pe aaj, chamak raha hai mera hi nashaa, Hi ho! Hai, bachnaa.. Jaam milte hain aadab se, shaam deti hai salaami Geet jhukte hai labon pe, saaz karte hain ghulaami Ho koi, pardaa ya baadshaah, aaj to sab hain mujhpe fidaa, Hai ho! Hai, bachnaa.. Ek hungaama uthaa doon, main to jaaoon jidhar se Jeet leta hoon dilon ko, ek halki si nazar se Mehboobon ki mehfil mein aaj, chhayi hai chhayi hai meri hi adaa, Hai ho! Hai, bachnaa..

Kya Hua Tera Wada

Singer: MOHAMMED RAFI AND SUSHMA SHRESHTHA

Lyrics of Kya Hua Tera Wada

--MALE- (Kya hua tera waada Woh kasam, woh iraada) - 2 Bhoolega dil jis din tumhe Woh din zindagi ka aakhri din hoga Kya hua tera waada Woh kasam, woh iraada --FEMALE-- Bhoolega dil jis din tumhe Woh din zindagi ka aakhri din hoga Kya hua tera waada --MALE-- Yaad hai mujhko, tune kaha tha Tumse nahin roothenge kabhi Dil ki tarah se haath mile hain Kaise bhala chhootenge kabhi Teri baahon mein beeti har shyaam Bewafa yeh bhi kya yaad nahin Kya hua tera waada Woh kasam, woh iraada Bhoolega dil jis din tumhe Woh din zindagi ka aakhri din hoga Kya hua tera waada Woh kasam, woh iraada Oh kehne waale mujhko farebi Kaun farebi hai yeh bata Woh jisne gham liya pyaar ki khaatir Ya jisne pyaar ko bech diya Nasha daulat ka aisa bhi kya Ke tujhe kuch bhi yaad nahin Kya hua tera waada Woh kasam, woh iraada Bhoolega dil jis din tumhe Woh din zindagi ka aakhri din hoga Kya hua tera waada Woh kasam woh irada

Yeh Ladka Hai Allaah

Singer: ASHA BHOSLE AND MOHD. RAFI

Lyrics of Yeh Ladka Hai Allaah

Yeh ladka hai allah kaisa hai deewan Kitna mushkil hai tauba isko samjhaana Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai Hote hote hote, pyaar hota hai Ho, yeh ladka hai allah kaisa hai deewana Kitna mushkil hai tauba isko samjhaana Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai Hote hote hote, pyaar hota hai Ho, yeh ladka hai allah kaisa hai deewana Humne to itna dekha, humne to itna sikha Dil ka sauda hota hai sauda zindagi ka Ho, humne to itna dekha, humne to itna sikha Dil ka sauda hota hai sauda zindagi ka Milte hi kaise koi hota hai deewana Kitna mushkil hai tauba isko samjhaana Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai Hote hote hote, pyaar hota hai Ho, yeh ladka hai allah kaisa hai deewana Ho sakta hai dekho na, samjho mitti ko sona Pal bhar ka hasna ho jaaye jeevan bhar ka rona Haan, ho sakta hai dekho na, samjho mitti ko sona Pal bhar ka hasna ho jaaye jeevan bhar ka rona Dekho jaldi mein kabhi dil ko na lagaana Kitna mushkil hai tauba isko samjhaana Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai Hote hote hote, pyaar hota hai Oh, yeh ladka hai allah kaisa hai deewana (Bholi ho tum kya jaano, abhi mujhko pehchaano Sapna tumhaara main hoon, maano ya na maano) - 2 Dekho nadaani se mujhe na thukraana Nahin to gaati heer hogi yeh taraana Ke dheere dheere dil beqaraar hota hai Hote hote hote, pyaar hota hai
Back to Film List

About HUM KISI SE KAM NAHIN Songs and Lyrics

Explore the HUM KISI SE KAM NAHIN soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for HUM KISI SE KAM NAHIN.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics