FILM SOUNDTRACK

Songs and Lyrics from RANJISH - PANKAJ UDHAS

Read available RANJISH - PANKAJ UDHAS lyrics and explore the singers, music directors and lyricists credited for its songs.

Deewaron Se Milkar Rona Achha Lagta Hain

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Deewaron Se Milkar Rona Achha Lagta Hain

(Deewaaron se milkar rona achha lagata hai Hum bhi paagal ho jaayenge aisa lagat hain) - 2 Deewaaron se... Duniya bhar ki yaade hamase milane aati hain - 2 Shaam dhale is sune ghar mein mela lagata hain - 2 Hum bhi paagal ho jaayenge aisa lagat hain Deewaaron se... Kitane dino ke pyaase honge yaaro socho to - 2 Shabanam ka katara bhi jinko daraya lagata hain - 2 Hum bhi paagal ho jaayenge aisa lagat hain Deewaaron se... Kisko kaisar pathhar maaro kaun paraya hain - 2 Shish mehal mein ik ik chehara apana lagata hain - 2 Hum bhi paagal ho jaayenge aisa lagat hain Diwaaron se milkar rona achha lagata hain Hum bhi paagal ho jaayenge aisa lagat hain Deewaaron se...

Woh Ashq Banke Meri

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Woh Ashq Banke Meri

Wo ashq banake meri chashmedar mein rehata hain - Ajib shaks hai paani ke ghar mein rehata hain Bhooli bisari yaadon ki kirano ko sajaakar roye hain - 2 Wo chehara jab yaad aaya (hum shamma jalakar roye hain) - 2 Saath tumhaara kya chhuta tha dard se har rishta toota tha - 2 Ye aanso hai khushi ke aanso (tumako paakar roye hain) - 2 Bhooli bisari yaadon ki kirano ko saajakar roye hain Apani hi majboori thi jo honth hamaare khul na sake - 2 Jab bhi maanga khuda se (bas haath uthakar roye hain) - 2 Bhooli bisari yaadon ki kirano ko saajakar roye hain Yaad hai ab tak shame judaayi wo palake bhi bhigi thi - 2 Raashid aaj unhi aankhon ke (kwaab sajakar roye hain) - 2 Bhooli bisari yaadon ki kirano ko sajaakar roye hain Wo chehara jab yaad aaya (hum shamma jalakar roye hain) - 2 Bhooli bisari yaadon ki kirano ko sajaakar roye hain

Yaadon Ka Ek Jhonka

Singer: PANKAJ UDHAS

Lyrics of Yaadon Ka Ek Jhonka

Dard chamaka rahi hai teri yaad noor barasa rahi hai teri yaa Dil ki waadi mein chaandni ki tarah failati ja rahi hai teri yaad Yaadon ka ek jhonka aaya hamase milane baraso baad - 2 (Pehale itana roye nahi the) - 2 jitana roye baraso baad Baraso baad... Yaadon ka ek jhonka aaya hamase milane baraso baad Lamha lamha ghar ujada hai mushkil se ehsaas huva - 2 Mushkil se ehsaas huva Pathhar aaye baraso pehale sheeshe tute baraso baad - 2 Yaadon ka ek jhonka aaya hamase milane baraso baad Aaj hamaari khak pe duniya rone dhone baithi hai - 2 Rone dhone baithi hai Phool huye hai jaane kaise itane saste baraso baad - 2 (Pehale itana roye nahi the) - 2 jitana roye baraso baad Baraso baad... Yaadon ka ek jhonka aaya hamase milane baraso baad Bhool bhi jaayo kisane toda kaise toda kyon toda - 2 kaise toda kyon toda Dhund rahi ho kya galiyon mein dil ke tukade baraso baad - 2 Yaadon ka ek jhonka aaya hamase milane baraso baad Dastak ki umid lagaaye kab tak kaisar jeete hum - 3 Kab tak kaisar jeete hum Kal ka waada karanewale milane aaye baraso baad - 2 (Pehale itana roye nahi the) - 2 jitana roye baraso baad Baraso baad... Yaadon ka ek jhonka aaya hamase milane baraso baad - 2
Back to Film List

About RANJISH - PANKAJ UDHAS Songs and Lyrics

Explore the RANJISH - PANKAJ UDHAS soundtrack and the song lyrics available on this page. Film songs bring together melodies, performances and words to support the story and create memorable moments for audiences.

Singers, Music Directors and Lyricists

Each song can be shaped by the singer's performance, the music director's composition and the lyricist's writing. Where credits are available, they are shown with the individual song above. Browse the entries to find the lyrics and artist information recorded for RANJISH - PANKAJ UDHAS.

Explore More Film Lyrics

Visit the film lyrics directory to search other movie soundtracks, or explore more stories in the Entertainment section.

Related Film Lyrics